hausale zindagi ke dekhte hain chaliye kuchh roz jee ke dekhte hain neend pichhli sadi ki zaKHmi hai KHvaab agli sadi ke dekhte hain roz ham ik andheri dhund ke paar qafile raushni ke dekhte hain dhoop itni karahati kyun hai chaanv ke zakham si ke dekhte hain tuktuki baandh li hai aankhoñ ne raaste waapsi ke dekhte hain paaniyon se to pyaas bujhti nahin aaiye zahar pee ke dekhte hain
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Rahat Indori
chehron ki dhoop aankhoñ ki gehraai le gaya aaina saare shahar ki beenaai le gaya doobe hue jahaaz pe kya tabsira karen ye haadisa to soch ki gehraai le gaya haalaanki be-zabaan tha lekin ajeeb tha jo shaKHs mujh se cheen ke goyaai le gaya main aaj apne ghar se nikalne na paaooñga bas ik qamees thii jo mira bhaai le gaya ghalib tumhaare vaaste ab kuchh nahin raha galiyon ke saare sang to saudaai le gaya
Rahat Indori
19 likes
yuñ sadaa dete hue tere khayal aate hain jaise ka'be ki khulii chat pe bilaal aate hain roz ham ashkon se dho aate hain deewar-e-haram pagadiyaan roz farishton ki uchaal aate hain haath abhii peeche bandhe rahte hain chup rahte hain dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain chaand suraj mirii chaukhat pe kaii sadiyon se roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain be-hisi murda-dili raqs sharaaben nag men bas isee raah se qaumon pe zawaal aate hain
Rahat Indori
3 likes
ise saamaan-e-safar jaan ye jugnoo rakh le raah men teergii hogii mire aañsu rakh le tu jo chahe to tira jhooth bhi bik saka hai shart itni hai ki sone ki taraazu rakh le vo koi jism nahin hai ki use choo bhi saken haan agar naam hi rakhna hai to khushboo rakh le tujh ko an-dekhi bulan dii men safar karna hai ehtiyaatan mirii himmat mire baazu rakh le mirii KHvaahish hai ki aangan men na deewaar uthe mire bhaai mire hisse ki zameen tu rakh le
Rahat Indori
0 likes
sawaal ghar nahin buniyaad par uthaya hai hamaare paanv ki miTTi ne sar uthaya hai hamesha sar pe rahi ik chataan rishton ki ye bojh vo hai jise umr-bhar uthaya hai mirii ghulail ke patthar ka kaar-naama tha magar ye kaun hai jis ne samar uthaya hai yahii zameen men dabaayega ek din ham ko ye aasmaan jise dosh par uthaya hai bulandiyon ko pata chal gaya ki phir main ne hawa ka toota hua ek par uthaya hai maha-bali se baghaavat bahut zaroori hai qadam ye ham ne samajh soch kar uthaya hai
Rahat Indori
3 likes
shaam ne jab palkon pe aatish-daan liya kuchh yaadon ne chutki men loban liya darwaazon ne apni aañkhen nam kar leen deewaron ne apna seena taan liya pyaas to apni saath samundar jaisi thii naahak ham ne baarish ka ehsaan liya main ne talvon se baandhi thii chaanv magar shaayad mujh ko suraj ne pahchaan liya kitne sukh se dharti odh ke soye hain ham ne apni maa ka kehna maan liya
Rahat Indori
10 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rahat Indori.
Similar Moods
More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.







