ghazalKuch Alfaaz

ho gae nakam to pachhtaen kya doston ke samne sharmaen kya ho rahe hain fail ham do saal se ghar men ja kar apna munh dikhlaen kya jab kisi surat nahin is se mafar imtihan ke naam se ghabraen kya yaad kar len aaj thoda sa sabaq master sahab ke dande khaen kya jab guru ji khud nahin samjhe saval apne shagirdon ko vo samjhaen kya padh nahin sakte to shaitani karen aa gae schol men to jaaen kya aao ham aapas men kuchh jhagda karen khel se ab apna dil bahlaen kya puchhte hain master ham kaun hain koi batlao ki ham batlaen kya jab kahin zauq-e-sukhan-fahmi nahin 'kaif' sahab ki ghhazal ham gaaen kya ho gae nakaam to pachhtaen kya doston ke samne sharmaen kya ho rahe hain fail hum do sal se ghar mein ja kar apna munh dikhlaen kya jab kisi surat nahin is se mafar imtihan ke nam se ghabraen kya yaad kar len aaj thoda sa sabaq master sahab ke dande khaen kya jab guru ji khud nahin samjhe sawal apne shagirdon ko wo samjhaen kya padh nahin sakte to shaitani karen aa gae school mein to jaen kya aao hum aapas mein kuchh jhagda karen khel se ab apna dil bahlaen kya puchhte hain master hum kaun hain koi batlao ki hum batlaen kya jab kahin zauq-e-sukhan-fahmi nahin 'kaif' sahab ki ghazal hum gaen kya

Related Ghazal

ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere

Umair Najmi

59 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Ahmed Siddiqui.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Ahmed Siddiqui's ghazal.