ho jaegi jab tum se shanasai zara aur badh jaegi shayad miri tanhai zara aur kyuun khul gae logon pe miri zaat ke asrar ai kaash ki hoti miri gahrai zara aur phir haath pe zakhmon ke nishan gin na sakoge ye uljhi hui dor jo suljhai zara aur tardid to kar sakta tha phailegi magar baat is taur bhi hogi tiri rusvai zara aur kyuun tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aya? achchha tha ki hota jo vo harjai zara aur hai diip tiri yaad ka raushan abhi dil men ye khauf hai lekin jo hava aai zara aur ladna vahin dushman se jahan gher sako tum jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur badh jaenge kuchh aur lahu bechne vaale ho jaae agar shahr men mahngai zara aur ik dubti dhadkan ki sada log na sun len kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur ho jaegi jab tum se shanasai zara aur badh jaegi shayad meri tanhai zara aur kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar ai kash ki hoti meri gahrai zara aur phir hath pe zakhmon ke nishan gin na sakoge ye uljhi hui dor jo suljhai zara aur tardid to kar sakta tha phailegi magar baat is taur bhi hogi teri ruswai zara aur kyun tark-e-talluq bhi kiya laut bhi aaya? achchha tha ki hota jo wo harjai zara aur hai dip teri yaad ka raushan abhi dil mein ye khauf hai lekin jo hawa aai zara aur ladna wahin dushman se jahan gher sako tum jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur badh jaenge kuchh aur lahu bechne wale ho jae agar shahr mein mahngai zara aur ek dubti dhadkan ki sada log na sun len kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Aanis Moin
vo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi ajeeb shaKHs hai apna bhi hai paraaya bhi ye intizaar sehar ka tha ya tumhaara tha diya jalaya bhi main ne diya bujhaaya bhi main chahta hooñ thehar jaa.e chashm-e-dariya men larzata aks tumhaara bhi meraa saaya bhi bahut maheen tha parda larzatee aankhoñ ka mujhe dikhaaya bhi tu ne mujhe chhupaaya bhi bayaaz bhar bhi gaii aur phir bhi saada hai tumhaare naam ko likkha bhi aur mitaaya bhi
Aanis Moin
5 likes
baahar bhi ab andar jaisa sannaata hai dariyaa ke us paar bhi gahra sannaata hai shor tha men to shaayad sadiyaan beet chuki hain ab tak lekin sehama sehama sannaata hai kis se boluun ye to ik sehra hai jahaan par main hooñ ya phir goonga bahra sannaata hai jaise ik toofaan se pahle ki khaamoshi aaj mirii bastii men aisa sannaata hai nayi sehar ki chaap na jaane kab ubharegi chaaron jaanib raat ka gahra sannaata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahar men kitna sannaata hai mahv-e-khwaab hain saari dekhne waali aañkhen jaagne vaala bas ik andha sannaata hai darna hai to an-jaani awaaz se darna ye to aanis dekha-bhala sannaata hai
Aanis Moin
3 likes
vo kuchh gahri soch men aise doob gaya hai baithe baithe nadi kinaare doob gaya hai aaj ki raat na jaane kitnii lambi hogii aaj ka suraj shaam se pahle doob gaya hai vo jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha paani paani kahte kahte doob gaya hai mere apne andar ek bhanwar tha jis men meraa sab kuchh saath hi mere doob gaya hai shor to yuñ utha tha jaise ik toofaan ho sannaate men jaane kaise doob gaya hai aakhiri KHvaahish poori kar ke jeena kaisa aanas bhi saahil tak aa ke doob gaya hai
Aanis Moin
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aanis Moin.
Similar Moods
More moods that pair well with Aanis Moin's ghazal.







