hosh valon ko khabar kya be-khudi kya chiiz hai ishq kiije phir samjhiye zindagi kya chiiz hai un se nazren kya milin raushan fazaen ho gaiin aaj jaana pyaar ki jadugari kya chiiz hai bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi jhukti ankhon ne bataya mai-kashi kya chiiz hai ham labon se kah na paae un se hal-e-dil kabhi aur vo samjhe nahin ye khamoshi kya chiiz hai hosh walon ko khabar kya be-khudi kya chiz hai ishq kije phir samjhiye zindagi kya chiz hai un se nazren kya milin raushan fazaen ho gain aaj jaana pyar ki jadugari kya chiz hai bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi jhukti aankhon ne bataya mai-kashi kya chiz hai hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi aur wo samjhe nahin ye khamoshi kya chiz hai
Related Ghazal
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
More from Nida Fazli
dukh men neer baha dete the sukh men hansne lagte the seedhe-saade log the lekin kitne achchhe lagte the nafrat chadhti aandhi jaisi pyaar ubalte chashmon sa bairi hooñ ya sangi saa thii saare apne lagte the bahte paani dukh-sukh baanten ped bade boodhon jaise bacchon ki aahat sunte hi khet lahakne lagte the nadiya parbat chaand nigaahen maala ek kaii daane chhote chhote se aangan bhi koson phaile lagte the
Nida Fazli
2 likes
tu qareeb aa.e to qurbat ka yuñ izhaar karoon aaina saamne rakh kar tira deedaar karoon saamne tere karoon haar ka apni elaan aur akelaa men tiri jeet se inkaar karoon pahle sochun use phir us ki banaaun tasveer aur phir us men hi paida dar-o-deewar karoon mire qabze men na miTTi hai na baadal na hawa phir bhi chaahat hai ki har shaakh samar-baar karoon subh hote hi ubhar aati hai saalim ho kar vahii deewaar jise roz main mismar karoon
Nida Fazli
0 likes
kuchh dinon to shahar saara ajnabi sa ho gaya phir hua yuñ vo kisi ki main kisi ka ho gaya ishq kar ke dekhiye apna to ye hai tajurba ghar mohalla shahar sab pahle se achha ho gaya qabr men haq-goi baahar manqabat qawwaliyaan aadmi ka aadmi hona tamasha ho gaya vo hi moorat vo hi soorat vo hi qudrat ki tarahus ko jis ne jaisa socha vo bhi waisa ho gaya
Nida Fazli
3 likes
har ik rastaa andheron men ghira hai mohabbat ik zaroori haadisa hai garjati aandhiyaan zaaeaa hui hain zameen pe toot ke aañsu giraa hai nikal aa.e kidhar manzil ki dhun men yahaañ to raasta hi raasta hai dua ke haath patthar ho ga.e hain KHuda har zehan men toota pada hai tumhaara tajurba shaayad alag ho mujhe to ilm ne bhatka diya hai
Nida Fazli
2 likes
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







