ghazalKuch Alfaaz

ham kuchh aise tire deedaar men kho jaate hain jaise bacche bhare bazaar men kho jaate hain mustaqil joojhna yaadon se bahut mushkil hai rafta rafta sabhi ghar-baar men kho jaate hain itnaa saanson ki rifaqat pe bharosa na karo sab ke sab miTTi ke ambaar men kho jaate hain meri khuddaari ne ehsaan kiya hai mujh par warna jo jaate hain darbaar men kho jaate hain dhooñdhne roz nikalte hain masaail ham ko roz ham surkhi-e-akhbaar men kho jaate hain kya qayamat hai ki seharaaon ke rahne waale apne ghar ke dar-o-deewar men kho jaate hain kaun phir aise men tanqeed karega tujh par sab tire jubbaa-o-dastaar men kho jaate hain

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Munawwar Rana

aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe

Munawwar Rana

1 likes

ye darveshon ki bastii hai yahaañ aisa nahin hogaa libaas-e-zindagi phat jaayega maila nahin hogaa share-bazaar men qeemat uchhalti girti rahtii hai magar ye khoon-e-muflis hai kabhi mehnga nahin hogaa tire ehsaas ki eenten lagii hain is imarat men hamaara ghar tire ghar se kabhi ooncha nahin hogaa hamaari dosti ke beech khud-gharzi bhi shaamil hai ye be-mausam ka phal hai ye bahut meetha nahin hogaa purane shahar ke logon men ik rasm-e-murawwat hai hamaare paas aa jaao kabhi dhoka nahin hogaa ye aisi chot hai jis ko hamesha dukhte rahna hai ye aisa zakham hai jo umr bhar achha nahin hogaa

Munawwar Rana

4 likes

chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai

Munawwar Rana

5 likes

mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai

Munawwar Rana

5 likes

phir se badal ke miTTi ki soorat karo mujhe izzat ke saath duniya se ruksat karo mujhe main ne to tum se ki hi nahin koi aarzoo paani ne kab kaha tha ki sharbat karo mujhe kuchh bhi ho mujh ko ek nayi shakl chahiye deewaar par bichao mujhe chat karo mujhe jannat pukaarti hai ki main hooñ tire li.e duniya b-zid hai mujh se ki jannat karo mujhe

Munawwar Rana

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Munawwar Rana.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.