ghazalKuch Alfaaz

hangaama hai kyun barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai ai shauq vahii may pee ai hosh zaraa so ja mehmaan-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai taaleem ka shor aisa tahzeeb ka ghul itnaa barkat jo nahin hoti niyyat ki kharaabi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Akbar Allahabadi

tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai

Akbar Allahabadi

0 likes

hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai

Akbar Allahabadi

1 likes

har qadam kahtaa hai tu aaya hai jaane ke li.e manzil-e-hasti nahin hai dil lagaane ke li.e kya mujhe KHush aa.e ye hairat-sara-e-be-sabaat hosh udne ke li.e hai jaan jaane ke li.e dil ne dekha hai bisaat-e-quwwat-e-idraak ko kya badhe is bazm men aañkhen uthaane ke li.e khoob ummeedein bandhein lekin hui hirmaan naseeb badliyaan uthhiin magar bijli girane ke li.e saans ki tarkeeb par miTTi ko pyaar aa hi gaya KHud hui qaid us ko seene se lagaane ke li.e jab kaha main ne bhula do gair ko hañs kar kaha yaad phir mujh ko dilaana bhool jaane ke li.e deeda-baazi vo kahaan aañkhen raha karti hain band jaan hi baaki nahin ab dil lagaane ke li.e mujh ko KHush aayi hai masti shaikh jee ko farbahee main hooñ peene ke li.e aur vo hain khaane ke li.e allah allah ke siva aaKHir raha kuchh bhi na yaad jo kiya tha yaad sab tha bhool jaane ke li.e sur kahaan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-saamaeen josh-e-dil kaafi hai akbar taan udaane ke li.e

Akbar Allahabadi

2 likes

phir gaii aap ki do din men tabi'at kaisi ye vafaa kaisi thii sahab ye muravvat kaisi dost ahbaab se hañs bol ke kat jaayegi raat rind-e-aazaad hain ham ko shab-e-furqat kaisi jis haseen se hui ulfat vahii maashooq apna ishq kis cheez ko kahte hain tabi'at kaisi hai jo qismat men vahii hogaa na kuchh kam na siva aarzoo kahte hain kis cheez ko hasrat kaisi haal khulta nahin kuchh dil ke dhadkane ka mujhe aaj rah rah ke bhar aati hai tabi'at kaisi koocha-e-yaar men jaata to nazaara karta qais aawaara hai jungle men ye vehshat kaisi

Akbar Allahabadi

1 likes

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin dor ko suljhaa raha hai aur sira milta nahin ma'arifat khaaliq ki aalam men bahut dushwaar hai shehr-e-tan men jab ki KHud apna pata milta nahin ghaafiloon ke lutf ko kaafi hai duniyaavi khushi aqiloon ko be-gham-e-uqba mazaa milta nahin kashti-e-dil ki ilaahi bahr-e-hasti men ho khairnaKHuda milte hain lekin ba-khuda milta nahin ghaafiloon ko kya sunaau daastaan-e-ishq-e-yaar sunne waale milte hain dard-aashna milta nahin zindagaani ka mazaa milta tha jin ki bazm men un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin sirf zaahir ho gaya sarmaaya-e-zeb-o-safa kya ta'ajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin pukhta tabon par hawadis ka nahin hota asar kohsaaron men nishaan-e-naqsh-e-paa milta nahin shaikh-saahib brahman se laakh barten dosti be-bhajan gaaye to mandir se tika milta nahin jis pe dil aaya hai vo sheerin-ada milta nahin zindagi hai talkh jeene ka mazaa milta nahin log kahte hain ki bad-naami se bachna chahiye kah do be us ke jawaani ka mazaa milta nahin ahl-e-zaahir jis qadar chahein karen bahs-o-jidaal main ye samjha hooñ khu dii men to KHuda milta nahin chal base vo din ki yaaron se bharii thii anjuman haaye afsos aaj soorat-aashna milta nahin manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ejaaz hai shah sab baste hain yaa koi gada milta nahin baar takleefon ka mujh par baar-e-ehsaan se hai sahal shukr ki ja hai agar haajat-rava milta nahin chaandni raatein bahaar apni dikhaati hain to kya be tire mujh ko to lutf ai mahlaqa milta nahin ma'ni-e-dil ka kare izhaar akbar kis tarah lafz mauzoon bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin

Akbar Allahabadi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Akbar Allahabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.