ghazalKuch Alfaaz

is qadar musalsal theen shiddatein judaai ki aaj pahli baar us se main ne be-vafaaii ki warna ab talak yuñ tha khwahishon ki baarish men ya to toot kar roya ya ghazal-saraai ki taj diya tha kal jin ko ham ne teri chaahat men aaj un se majbooran taaza aashnaai ki ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apne se tu ne kis ghadi zalim meri ham-navaai ki tark kar chuke qaasid koo-e-naa-muraadaan ko kaun ab khabar laave shehr-e-aashnaai ki tanj o ta'na o tohmat sab hunar hain naaseh ke aap se koi pooche ham ne kya buraai ki phir qafas men shor utha qaaidiyon ka aur sayyaad dekhna uda dega phir khabar rihaai ki dukh hua jab us dar par kal faraaz ko dekha laakh aib the us men khoo na thii gadaai ki

Related Ghazal

dil ko teri KHvaahish pahli baar hui is sehra men baarish pahli baar hui maangne waale heere moti maangte hain ashkon ki basaaoge pahli baar hui doobne waale ik ik kar ke aa jaayen dariyaa men gunjaish pahli baar hui

Abrar Kashif

46 likes

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

judaai ka zamaana yuñ thikaane lag gaya tha bichhad kar usse main likhne likhaane lag gaya tha t abhii to zang aalooda hui talwaar meri main dushman par muhabbat aazmaane lag gaya tha abhii samjha raha tha vo mujhe bose ka matlab ki main shahtoot ke ras men nahaane lag gaya tha mohabbat ho nahin paai to uskaa kya karoon main ki main to us gali men aane jaane lage gaya tha t abhii to meri aankhoñ ko nahin rone ki aadat main chhoti umr men aañsu chhupaane lag gaya tha

Abbas Tabish

19 likes

vo hum-safar tha magar us se ham-navaai na thii ki dhoop chaanv ka aalam raha judaai na thii na apna ranj na auron ka dukh na teraa malaal shab-e-firaq k abhii ham ne yuñ ganwaai na thii mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musaafir shikasta-paai na thii adaavaten theen taghaaful tha ranjishen theen bahut bichhadne waale men sab kuchh tha be-vafaaii na thii bichhadte vaqt un aankhoñ men thii hamaari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhii sunaai na thii kise pukaar raha tha vo doobta hua din sadaa to aayi thii lekin koi duhaai na thii k abhii ye haal ki dono men yak-dili thii bahut k abhii ye marhala jaise ki aashnaai na thii ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh naseer vahaañ bhi aa ga.e aaKHir jahaan rasai na thii

Naseer Turabi

18 likes

More from Ahmad Faraz

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

Ahmad Faraz

3 likes

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

us ka apna hi karishma hai fusoon hai yuñ hai yuñ to kehne ko sabhi kahte hain yuñ hai yuñ hai jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saaya na daroon hai na baroon hai yuñ hai tum ne dekhi hi nahin dast-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khaar pe ik qatra-e-khoon hai yuñ hai tum mohabbat men kahaan sood-o-ziyaan le aa.e ishq ka naam khird hai na junoon hai yuñ hai ab tum aa.e ho mirii jaan tamasha karne ab to dariyaa men talaatum na sukoon hai yuñ hai naaseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai roz aa jaata hai samjhaata hai yuñ hai yuñ hai shaay'ri taaza zamaanon ki hai men'maar faraaz ye bhi ik silsila-e-kun-fayaakoon hai yuñ hai

Ahmad Faraz

4 likes

phir usii rahguzar par shaayad ham kabhi mil saken magar shaayad jin ke ham muntazir rahe un ko mil ga.e aur hum-safar shaayad jaan-pahchaan se bhi kya hogaa phir bhi ai dost ghaur kar shaayad ajnabbiyyat ki dhundh chhat jaa.e chamak utthe tiri nazar shaayad zindagi bhar lahu rulaayegi yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz phir bhi tu intizaar kar shaayad

Ahmad Faraz

4 likes

jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue

Ahmad Faraz

9 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.