ghazalKuch Alfaaz

is tarah mohabbat men dil pe hukmraani hai dil nahin mira goya un ki raajdhaani hai ghaas ke gharaunde se zor-aazmaai kya aandhiyaan bhi pagli hain barq bhi divaani hai shaayad un ke daaman ne ponch deen mirii aañkhen aaj mere ashkon ka rang zaafraani hai poochte ho kya baba kya hua dil-e-zinda vo mira dil-e-zinda aaj aan-jahaani hai kaif tujh ko duniya ne kya se kya banaa daala yaar ab tire munh par rang hai na paani hai

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

More from Kaif Bhopali

khaanqaah men sufi munh chhu paa.e baitha hai ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai qatl to nahin badla qatl ki ada badli teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain gair un ke kooche men saa.e saa.e baitha hai waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai

Kaif Bhopali

0 likes

tum se na mil ke KHush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulaab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne vo kaañte chubhoye hain main har gul-e-shagufta ko choone se dar gaya is dil ke tootne ka mujhe koi gham nahin achha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hooñ ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira kaif mar gaya

Kaif Bhopali

0 likes

salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e

Kaif Bhopali

1 likes

ham un ko cheen kar laaye hain kitne daavedaaron se shafaq se chaandni-raaton se phoolon se sitaaron se hamaare zakhm-e-dil daag-e-jigar kuchh milte-julte hain gulon se gul-rukho'n se mahwashon se maah-paaron se zamaane men kabhi bhi qismaten badla nahin karti umeedon se bharoson se dilaason se sahaaron se sune koi to ab bhi raushni awaaz deti hai gufaaon se pahaadon se biyaabaanon se ghaaron se barabar ek pyaasi rooh ki awaaz aati hai kuon se pan-ghaton se naddiyon se aabshaaron se kabhi patthar ke dil ai kaif pighle hain na pighlenge munaajaaton se fariyadon se cheekh'on se pukaaron se

Kaif Bhopali

1 likes

na aaya mazaa shab ki tanhaaiyon men sehar ho gaii chand angadaaiyon men na rangeeniyon men na raanaaiyon men nazar ghir gaii apni parchaaiyon men mujhe muskuraa muskuraa kar na dekho mire saath tum bhi ho rusvaaiyon men ghazab ho gaya un ki mehfil se aanaa ghira ja raha hooñ tamaashaaiyon men mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat zaraa mil to jaayen vo tanhaaiyon men idhar aao tum ko nazar lag na jaa.e chhupa luun tumhein dil ki gahraaiyon men are sunne waalo ye nag men nahin hain mire dil ki cheekhen hain shehnaaiyon men vo ai kaif jis din se mire hue hain to saara zam aanaa hai shaidaaiyon men

Kaif Bhopali

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Bhopali.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.