ghazalKuch Alfaaz

ishq ka naghma junoon ke saaz par gaate hain ham apne gham ki aanch se patthar ko pighlaate hain ham jaag uthte hain to sooli par bhi neend aati nahin vaqt pad jaa.e to angaaron pe so jaate hain ham zindagi ko ham se badh kar kaun kar saka hai pyaar aur agar marne pe aa jaayen to mar jaate hain ham dafn ho kar KHaak men bhi dafn rah sakte nahin laala-o-gul ban ke veeraanon pe chha jaate hain ham ham ki karte hain chaman men ehtimaam-e-rang-o-boo roo-e-geeti se naqaab-e-husn sarkaate hain ham aks padte hi sanwar jaate hain chehre ke nuqoosh shaahid-e-hasti ko yuñ aaina dikhlaate hain ham may-kashon ko muzda sadiyon ke pyaason ko naved apni mehfil apna saaqi le ke ab aate hain ham

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga

Tehzeeb Hafi

84 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

More from Ali Sardar Jafri

ik subh hai jo hui nahin hai ik raat hai jo kati nahin hai maqtoolon ka qahat pad na jaa.e qaateel ki kahii kamii nahin hai veeraanon se aa rahi hai awaaz takhleeq-e-junoon ruki nahin hai hai aur hi kaarobaar-e-masti jee lena to zindagi nahin hai saaqi se jo jaam le na badh kar vo tishnagi tishnagi nahin hai aashiq-kushi o fareb-kaari ye sheva-e-dilbari nahin hai bhookhon ki nigaah men hai bijli ye barq abhii giri nahin hai dil men jo jalaaii thii kisi ne vo sham-e-tarab bujhi nahin hai ik dhoop si hai jo zer-e-mizgaan vo aankh abhii u thii nahin hai hain kaam bahut abhii ki duniya shaista-e-aadmi nahin hai har rang ke aa chuke hain fir'aun lekin ye jabeen jhuki nahin hai

Ali Sardar Jafri

0 likes

aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin dil ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr-e-arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati

Ali Sardar Jafri

0 likes

laghzish-e-gaam li.e lagzish-e-mastaana li.e aa.e ham bazm men phir jur'at-e-rindaana li.e ishq pahluu men hai phir jalwa-e-jaanaana li.e zulf ik haath men ik haath men paimaana li.e yaad karta tha ha men saaqi-o-meena ka hujoom uth ga.e the jo kabhi raunaq-e-may-khaana li.e vasl ki subh shab-e-hijr ke baa'd aayi hai aaftaab-e-rukh-e-mahboob ka nazraana li.e asr-e-haazir ko mubarak ho naya daur-e-awaam apni thokar men sar-e-shaukat-e-shaahaana li.e

Ali Sardar Jafri

1 likes

main jahaan tum ko bulaata hoon wahaan tak aao meri nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao phir ye dekho ki zamaane ki hawa hai kaisi saath mire mire firdaus-e-jawaan tak aao hausla ho to udo mire tasavvur ki tarah meri takhyyul ke gulzaar-e-jinaan tak aao phool ke gird phiro baagh men maanind-e-naseem misl-e-parwaana kisi sham-e-tapaan tak aao lo vo sadiyon ke jahannam ki hadein khatm hui ab hai firdaus hi firdaus jahaan tak aao chhod kar wahm-o-gumaan husn-e-yaqeen tak pahoncho par yaqeen se bhi kabhi wahm-o-gumaan tak aao isee duniya men dikha den tumhein jannat ki bahaar shaikh-ji tum bhi zaraa koo-e-butaan tak aao

Ali Sardar Jafri

4 likes

vo mirii dost vo hamdard vo gham-khwaar aañkhen ek maasoom mohabbat ki gunahgaar aañkhen shokh-o-shaadab-o-haseen saada-o-purkaar aañkhen mast-o-sarshaar-o-jawaan be-khud-o-hoshiyaar aañkhen tirchi nazaron men vo uljhi hui suraj ki kiran apne duzdeeda ishaaron men girftaar aañkhen jumbish-e-abroo-o-mizgaan kai khunuk saa.e men aatish-afroz junoon-khez sharar-baar aañkhen kaifiyat dil ki sunaati hui ek ek nigaah be-zabaan ho ke bhi vo maail-e-guftaar aañkhen mausam-e-gul men vo udte hue bhaunron ki tarah guncha-e-dil pe vo karti hui yalghaar aañkhen kabhi chhalki hui sharbat ke katoron ki tarah aur kabhi zahar men doobi hui talwaar aañkhen kabhi thehri hui yakh-basta ghamon ki jheelein kabhi sehama hua simtaa hua ik pyaar aañkhen kabhi jhukte hue baadal kabhi girti bijli kabhi uthatii hui aamada-e-paikaar aañkhen nok-e-abroo men kabhi talkhi-e-inkaar li.e kabhi ghole hue sheerini-e-iqraar aañkhen aanch men apni jawaani ki sulagti chitwan shabnam-e-ashk men dhoi hui gulnaar aañkhen husn ke chaand se mukhde pe chamakte taare haaye aañkhen vo harif-e-lab-o-rukhsaar aañkhen ishwa-o-ghamza-o-andaaz-o-ada par naazaan apne pindaar-e-jawaani ki parastaar aañkhen rooh ko rog mohabbat ka laga deti hain sehat-e-dil jo ata karti hain beemaar aañkhen sehan-e-zindan men hai phir raat ke taaron ka hujoom shama' ki tarah farozaan sar-e-deewaar aañkhen

Ali Sardar Jafri

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's ghazal.