vo mirii dost vo hamdard vo gham-khwaar aañkhen ek maasoom mohabbat ki gunahgaar aañkhen shokh-o-shaadab-o-haseen saada-o-purkaar aañkhen mast-o-sarshaar-o-jawaan be-khud-o-hoshiyaar aañkhen tirchi nazaron men vo uljhi hui suraj ki kiran apne duzdeeda ishaaron men girftaar aañkhen jumbish-e-abroo-o-mizgaan kai khunuk saa.e men aatish-afroz junoon-khez sharar-baar aañkhen kaifiyat dil ki sunaati hui ek ek nigaah be-zabaan ho ke bhi vo maail-e-guftaar aañkhen mausam-e-gul men vo udte hue bhaunron ki tarah guncha-e-dil pe vo karti hui yalghaar aañkhen kabhi chhalki hui sharbat ke katoron ki tarah aur kabhi zahar men doobi hui talwaar aañkhen kabhi thehri hui yakh-basta ghamon ki jheelein kabhi sehama hua simtaa hua ik pyaar aañkhen kabhi jhukte hue baadal kabhi girti bijli kabhi uthatii hui aamada-e-paikaar aañkhen nok-e-abroo men kabhi talkhi-e-inkaar li.e kabhi ghole hue sheerini-e-iqraar aañkhen aanch men apni jawaani ki sulagti chitwan shabnam-e-ashk men dhoi hui gulnaar aañkhen husn ke chaand se mukhde pe chamakte taare haaye aañkhen vo harif-e-lab-o-rukhsaar aañkhen ishwa-o-ghamza-o-andaaz-o-ada par naazaan apne pindaar-e-jawaani ki parastaar aañkhen rooh ko rog mohabbat ka laga deti hain sehat-e-dil jo ata karti hain beemaar aañkhen sehan-e-zindan men hai phir raat ke taaron ka hujoom shama' ki tarah farozaan sar-e-deewaar aañkhen
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
aankhoñ ke saath use mira hansna nahin pasand dariyaa ho ya ho ghaav use gahra nahin pasand taarikh aa chuki hai udhar card chap ga.e ab kab kahegi tujh ko vo ladka nahin pasand tum ko to mujh se guftugoo karna pasand tha ab kyuuñ mirii mazaar pe rukna nahin pasand kapdon se itr tak ya kitaabon se haar tak vo bole to sahi ki use kya nahin pasand ik din pada mila tha mujhe raaston pe aur ik din suna use mira choona nahin pasand
Kushal Dauneria
29 likes
ik zara sa toot kar mismar ho jaata hai kya aaiine ka aaina bekar ho jaata hai kya aaj kal mayus waapas aa rahe hain qafile aaj kal us dar se bhi inkaar ho jaata hai kya haath paanv maarnay se ho nahin saka agar doob jaane se samandar paar ho jaata hai kya aalam-e-tanhaai men bhi uskaa aisa khauf hai zehan men hota hai kya izhaar ho jaata hai kya haay uskaa is qadar maasoomiyat se poochna ladkiyon ko ladkiyon se pyaar ho jaata hai kya
Zia Mazkoor
28 likes
main raah-e-jannat ka asl naqsha chura raha tha so ungliyon ko tere labon par fira raha tha main isliye bhi sar apna haan men hila raha tha mujhe pata hai tu sirf baatein banaa raha tha bichhad ke hamse hamaari ghalti gina raha tha hamaara gham tha humeen ko aañkhen dikha raha tha vo KHud ko duniya ka ek hissa banaa chuki thii main apne hisse ka pyaar jis par luta raha tha tumheen ne jaane ko kah diya hai tumheen kahoge use bulao vo she'r achchhe suna raha tha
Vikram Gaur Vairagi
29 likes
zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge
Tehzeeb Hafi
88 likes
More from Ali Sardar Jafri
aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin dil ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr-e-arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati
Ali Sardar Jafri
0 likes
ab aa gaya hai jahaan men to muskurata ja chaman ke phool dilon ke kanwal khilaata ja adam hayaat se pahle adam hayaat ke baa'd ye ek pal hai use jaavedaan banata ja bhatk rahi hai andhere men zindagi ki baraat koi charaaghh sar-e-rahguzar jalata ja guzar chaman se misaal-e-naseem-e-subh-e-bahaar gulon ko chhed ke kaanton ko gudgudaata ja rah-e-daraaz hai aur door shauq ki manzil garaan hai marhala-e-umr geet gaata ja bala se bazm men gar zauq-e-naghmagi kam hai nava-e-talkh ko kuchh talkh-tar banata ja jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna nazaad-e-nau ko tareeq-e-junoon sikhaata ja dikha ke jalwa-e-farda banaa de deewaana naye zamaane ke rukh se naqaab uthaata ja bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilein hain udaas koi taraana koi dastaan sunaata ja
Ali Sardar Jafri
0 likes
aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin zid ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati ye naghma naghma-e-bedaari-e-jamhoor-e-aalam hai vo shamsher-e-nawaa jis ki darkhshaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati
Ali Sardar Jafri
0 likes
kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva raaste band hain sab koocha-e-qaatil ke siva bais-e-rashk hai tanha-ravi-e-rah-rav-e-shauq hum-safar koi nahin doori-e-manzil ke siva ham ne duniya ki har ik shay se uthaya dil ko lekin ek shokh ke hangaama-e-mahfil ke siva teg munsif ho jahaan daar-o-rasan hon shaahid be-gunah kaun hai us shahar men qaateel ke siva jaane kis rang se aayi hai gulistaan men bahaar koi naghma hi nahin shor-e-salaasil ke siva
Ali Sardar Jafri
1 likes
ik subh hai jo hui nahin hai ik raat hai jo kati nahin hai maqtoolon ka qahat pad na jaa.e qaateel ki kahii kamii nahin hai veeraanon se aa rahi hai awaaz takhleeq-e-junoon ruki nahin hai hai aur hi kaarobaar-e-masti jee lena to zindagi nahin hai saaqi se jo jaam le na badh kar vo tishnagi tishnagi nahin hai aashiq-kushi o fareb-kaari ye sheva-e-dilbari nahin hai bhookhon ki nigaah men hai bijli ye barq abhii giri nahin hai dil men jo jalaaii thii kisi ne vo sham-e-tarab bujhi nahin hai ik dhoop si hai jo zer-e-mizgaan vo aankh abhii u thii nahin hai hain kaam bahut abhii ki duniya shaista-e-aadmi nahin hai har rang ke aa chuke hain fir'aun lekin ye jabeen jhuki nahin hai
Ali Sardar Jafri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's ghazal.







