ishq men kaun bataa saka hai kis ne kis se sach bola hai ham tum saath hain is lamhe men dukh sukh to apna apna hai mujh ko to saare naamon men teraa naam achha lagta hai bhool gaii vo shakl bhi aaKHir kab tak yaad koi rehta hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Ahmad Mushtaq
ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaañ main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie
Ahmad Mushtaq
0 likes
ye kaun KHvaab men choo kar chala gaya mire lab pukaarta hooñ to dete nahin sadaa mire lab ye aur baat kisi ke labon talak na ga.e magar qareeb se guzre hain baar-ha mire lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai vo jis ke naam se hote na the juda mire lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-naseeb mire kaan be-nava mire lab ye shaakhsaana-e-wahm-o-gumaan tha shaayad kuja vo samraa-e-baagh-e-talb kuja mire lab
Ahmad Mushtaq
1 likes
khade hain dil men jo barg-o-samar lagaaye hue tumhaare haath ke hain ye shajar lagaaye hue bahut udaas ho tum aur main bhi baitha hooñ ga.e dinon ki kamar se kamar lagaaye hue abhii sipaah-e-sitam khema-zan hai chaar taraf abhii pade raho zanjeer-e-dar lagaaye hue kahaan kahaan na ga.e aalam-e-khayaal men ham nazar kisi ke dar-o-baam par lagaaye hue vo shab ko cheer ke suraj nikaal bhi laaye ham aaj tak hain ummeed-e-sehr lagaaye hue dilon ki aag jalao ki ek umr hui sada-e-naal-e-dood-o-sharar lagaaye hue
Ahmad Mushtaq
0 likes
kis shay pe yahaañ vaqt ka saaya nahin hota ik khwaab-e-mohabbat hai ki boodha nahin hota vo vaqt bhi aata hai jab aankhoñ men hamaari phirti hain vo shaklein jinhen dekha nahin hota baarish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal dekho to kahii abr ka tukda nahin hota ghir jaata hai dil dard ki har band gali men chaaho ki nikal jaayen to rastaa nahin hota yaadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamaana milta hai vo paighaam ki pahuncha nahin hota tanhaaii men karne to hai ik baat kisi se lekin vo kisi vaqt akela nahin hota kya us se gilaa keejie barbaadi-e-dil ka ham se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota
Ahmad Mushtaq
0 likes
haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko
Ahmad Mushtaq
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.







