ghazalKuch Alfaaz

ishq minnat-kash-e-qaraar nahin husn majboor-e-intizaar nahin teri ranjish ki intiha maaloom hasraton ka mirii shumaar nahin apni nazrein bikher de saaqi may ba-andaaza-e-khumaar nahin zer-e-lab hai abhii tabassum-e-dost muntashir jalwa-e-bahaar nahin apni takmeel kar raha hooñ main warna tujh se to mujh ko pyaar nahin chaara-e-intizaar kaun kare teri nafrat bhi ustuvaar nahin faiz zinda rahen vo hain to sahi kya hua gar wafa-shiaar nahin

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

darbaar men ab satwat-e-shaahi ki alaamat darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men li.e firte hain tiflaan ye meraa garebaan hai ki lashkar ka alam hai jis noor se hai shahar ki deewaar darkhshan ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai halka ki.e baithe raho ik shama' ko yaaro kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

na ab raqeeb na naaseh na gham-gusaar koi tum aashna the to theen aashnaaiyaan kya kya juda the ham to muyassar theen qurbaten kitnii bahm hue to pa dii hain judaaiyaan kya kya pahunch ke dar pe tire kitne mo'tabar thehre agarche rah men hui jag-hansaaiyaan kya kya ham aise saada-dilon ki niyaaz-man dii se buton ne ki hain jahaan men khudaiyaan kya kya sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda sikhaaiin tum ne ha men kaj-adaaiyaan kya kya

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

phir hareef-e-bahaar ho baithe jaane kis kis ko aaj ro baithe thii magar itni raayegaan bhi na thii aaj kuchh zindagi se kho baithe tere dar tak pahunch ke laut aa.e ishq ki aabroo dubo baithe saari duniya se door ho jaa.e jo zaraa tere paas ho baithe na gaii teri be-rukhi na gaii ham tiri aarzoo bhi kho baithe faiz hota rahe jo hona hai she'r likhte raha karo baithe

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.