ghazalKuch Alfaaz

itni hasin itni javan raat kya karen jaage hain kuchh ajiib se jazbat kya karen pedon ke bazuon men mahakti hai chandni bechain ho rahe hain khayalat kya karen sanson men ghul rahi hai kisi saans ki mahak daman ko chhu raha hai koi haat kya karen shayad tumhare aane se ye bhed khul sake hairan hain ki aaj nai baat kya karen itni hasin itni jawan raat kya karen jage hain kuchh ajib se jazbaat kya karen pedon ke bazuon mein mahakti hai chandni bechain ho rahe hain khayalat kya karen sanson mein ghul rahi hai kisi sans ki mahak daman ko chhu raha hai koi hat kya karen shayad tumhaare aane se ye bhed khul sake hairan hain ki aaj nai baat kya karen

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

More from Sahir Ludhianvi

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

ye vaadiyaan ye fazaaen bula rahi hain tumhein khamoshiyon ki sadaaen bula rahi hain tumhein taras rahe hain jawaan phool hont choone ko machal machal ke hawaayein bula rahi hain tumhein tumhaari zulfon se KHushboo ki bheek lene ko jhuki jhuki si ghataaen bula rahi hain tumhein haseen champai pairo'n ko jab se dekha hai nadi ki mast adaayein bula rahi hain tumhein mira kaha na suno un ki baat to sun lo har ek dil ki duaayein bula rahi hain tumhein

Sahir Ludhianvi

7 likes

apna dil pesh karoon apni vafaa pesh karoon kuchh samajh men nahin aata tujhe kya pesh karoon tere milne ki khushi men koi naghma chhedu ya tire dard-e-judai ka gilaa pesh karoon mere KHvaabon men bhi tu mere khayaalon men bhi tu kaun si cheez tujhe tujh se juda pesh karoon jo tire dil ko lubhaaye vo ada mujh men nahin kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karoon

Sahir Ludhianvi

8 likes

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne

Sahir Ludhianvi

0 likes

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.