ghazalKuch Alfaaz

jab hua irfan to ghham aram-e-jan banta gaya soz-e-janan dil men soz-e-digaran banta gaya rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman dhire dhire naghhma-e-dil bhi fughhan banta gaya main akela hi chala tha janib-e-manzil magar log saath aate gae aur karvan banta gaya main to jab janun ki bhar de saghhar-e-har-khas-o-am yuun to jo aaya vahi pir-e-mughhan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham abla-payan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitan banta gaya sharh-e-ghham to mukhtasar hoti gai us ke huzur lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya dahr men 'majruh' koi javedan mazmun kahan main jise chhuta gaya vo javedan banta gaya jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya soz-e-jaanan dil mein soz-e-digaran banta gaya rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman dhire dhire naghma-e-dil bhi fughan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log sath aate gae aur karwan banta gaya main to jab jaanun ki bhar de saghar-e-har-khas-o-am yun to jo aaya wahi pir-e-mughan banta gaya jis taraf bhi chal pade hum aabla-payan-e-shauq khar se gul aur gul se gulsitan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gai us ke huzur lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya dahr mein 'majruh' koi jawedan mazmun kahan main jise chhuta gaya wo jawedan banta gaya

Related Ghazal

phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii

Kumar Vishwas

53 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Majrooh Sultanpuri

jab hua irfaan to gham aaraam-e-jaan banta gaya soz-e-jaanaan dil men soz-e-deegaraan banta gaya rafta rafta munqalib hoti gaii rasm-e-chaman dheere dheere naghma-e-dil bhi fugaan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate ga.e aur kaarwaan banta gaya main to jab jaanoon ki bhar de saaghar-e-har-khaas-o-aam yuñ to jo aaya vahii peer-e-mugaan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham aabla-paayaan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitaan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gaii us ke huzoor lafz jo munh se na niklaa dastaan banta gaya dehr men majrooh koi jaavedaan mazmoon kahaan main jise chhoota gaya vo jaavedaan banta gaya

Majrooh Sultanpuri

1 likes

aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh ye zaraa door pe manzil ye ujaala ye sukoon KHvaab ko dekh abhii KHvaab ki taabeer na dekh dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh kuchh bhi hooñ phir bhi dukhe dil ki sadaa hooñ naadaan meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh vahii majrooh vahii shaair-e-aawara-mizaaj koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh

Majrooh Sultanpuri

1 likes

yuñ to aapas men bigadte hain KHafaa hote hain milne waale kahii ulfat men juda hote hain hain zamaane men ajab cheez mohabbat waale dard KHud bante hain KHud apni davaa hote hain haal-e-dil mujh se na poochho mirii nazrein dekho raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain milne ko yuñ to mila karti hain sab se aañkhen dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib log aisi hi adaaon pe fida hote hain

Majrooh Sultanpuri

4 likes

ham ko junoon kya sikhaate ho ham the pareshaan tum se ziyaada chaak ki.e hain ham ne azeezo chaar garebaan tum se ziyaada chaak-e-jigar mohtaaj-e-rafoo hai aaj to daaman sarf-e-lahu hai ik mausam tha ham ko raha hai shauq-e-bahaaraan tum se ziyaada ahad-e-wafaa yaaron se nibhaayein naaz-e-harifaan hañs ke uthaaye jab ha men armaan tum se siva tha ab hain pashemaan tum se ziyaada ham bhi hamesha qatl hue aur tum ne bhi dekha door se lekin ye na samajhna ham ko hua hai jaan ka nuqsaan tum se ziyaada jaao tum apne baam ki khaatir saari love shamon ki katar lo zakham ke mehr-o-maah salaamat jashn-e-charaagaan tum se ziyaada dekh ke uljhan zulf-e-dota ki kaise uljh padte hain hawa se ham se seekho ham ko hai yaaro fikr-e-nigaaraan tum se ziyaada zanjeer o deewaar hi dekhi tum ne to majrooh magar ham koocha koocha dekh rahe hain aalam-e-zindaan tum se ziyaada

Majrooh Sultanpuri

1 likes

ham hain mata-e-koocha-o-bazaar ki tarah uthatii hai har nigaah khareedaar ki tarah is koo-e-tishnagi men bahut hai ki ek jaam haath aa gaya hai daulat-e-bedaar ki tarah vo to kahii hai aur magar dil ke aas-paas phirti hai koi shay nigah-e-yaar ki tarah seedhi hai raah-e-shauq pe yoonhi kahii kahii KHam ho gaii hai gesoo-e-dildaar ki tarah be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaan har naqsh-e-paa buland hai deewaar ki tarah ab ja ke kuchh khula hunar-e-naakhun-e-junoon zakham-e-jigar hue lab-o-rukhsaar ki tarah majrooh likh rahe hain vo ahl-e-wafa ka naam ham bhi khade hue hain gunahgaar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's ghazal.