ghazalKuch Alfaaz

jab ishq sikhata hai adab-e-khud-agahi khulte hain ghhulamon par asrar-e-shahanshahi 'attar' ho 'rumi' ho 'razi' ho 'ghhazali' ho kuchh haath nahin aata be-ah-e-sahar-gahi naumid na ho in se ai rahbar-e-farzana kam-kosh to hain lekin be-zauq nahin raahi ai tair-e-lahauti us rizq se maut achchhi jis rizq se aati ho parvaz men kotahi daara o sikandar se vo mard-e-faqir aula ho jis ki faqiri men bu-e-asadul-lahi ain-e-javan-mardan haq-goi o be-baki allah ke sheron ko aati nahin rubahi jab ishq sikhata hai aadab-e-khud-agahi khulte hain ghulamon par asrar-e-shahanshahi 'attar' ho 'rumi' ho 'raazi' ho 'ghazali' ho kuchh hath nahin aata be-ah-e-sahar-gahi naumid na ho in se ai rahbar-e-farzana kam-kosh to hain lekin be-zauq nahin rahi ai tair-e-lahauti us rizq se maut achchhi jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi dara o sikandar se wo mard-e-faqir aula ho jis ki faqiri mein bu-e-asadul-lahi aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki allah ke sheron ko aati nahin rubahi

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

More from Allama Iqbal

apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main

Allama Iqbal

1 likes

khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin

Allama Iqbal

0 likes

digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi dil-e-har-zarra men ghaaga-e-rusta-khez hai saaqi mata-e-deen-o-daanish loot gaii allah-waalon ki ye kis kaafir-ada ka ghaza-e-khoon-rez hai saaqi vahii deerina beemaarii vahii na-mohkami dil ki ilaaj is ka vahii aab-e-nashaat-angez hai saaqi haram ke dil men soz-e-aarzoo paida nahin hota ki paidaai tiri ab tak hijaab-aamez hai saaqi na utha phir koi roomi ajam ke laala-zaaro se vahii aab-o-gil-e-eran vahii tabrez hai saaqi nahin hai na-umeed iqbaal apni kisht-e-veeraan se zaraa nam ho to ye miTTi bahut zarkhez hai saaqi faqeer-e-raah ko bakshe ga.e asraar-e-sultaani baha meri nava ki daulat-e-parvez hai saaqi

Allama Iqbal

4 likes

dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai

Allama Iqbal

1 likes

ye payaam de gaii hai mujhe baad-e-subh-gaahi ki khu dii ke aarifon ka hai maqaam paadshaahi tiri zindagi isee se tiri aabroo isee se jo rahi khu dii to shaahi na rahi to roo-siyaahi na diya nishaan-e-manzil mujhe ai hakeem tu ne mujhe kya gilaa ho tujh se tu na rah-nasheen na raahi mire halka-e-sukhan men abhii zer-e-tarbiyat hain vo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahi ye muaamle hain naazuk jo tiri raza ho tu kar ki mujhe to KHush na aaya ye tariq-e-khaanqaahi tu huma ka hai shikaari abhii ibtida hai teri nahin maslahat se khaali ye jahaan-e-murg-o-maahi tu arab ho ya ajam ho tira la ilaah illa lughat-e-ghareeb jab tak tira dil na de gawaahi

Allama Iqbal

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Allama Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.