jab pyaar nahin hai to bhula kyun-nahiin dete khat kis li.e rakhe hain jala kyun nahin dete kis vaaste likkha hai hatheli pe mira naam main harf-e-ghalat hoonto mita kyun nahin dete lillaah shab-o-roz ki uljhan se nikaalo tum mere nahin ho to bataa kyun nahin dete rah rah ke na tadpaao ai be-dard maseeha haathon se mujhe zahar pila kyun nahin dete jab us ki wafaon pe yaqeen tum ko nahin hai hasrat ko nigaahon se giraa kyun nahin dete
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Hasrat Jaipuri
ham raaton ko uth uth ke jin ke li.e rote hain vo gair ki baanhon men aaraam se sote hain ham ashk judaai ke girne hi nahin dete bechain si palkon men moti se pirote hain hota chala aaya hai be-dard zamaane men sachchaai ki raahon men kaañte sabhi bote hain andaaz-e-sitam un ka dekhe to koi hasrat milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain
Hasrat Jaipuri
4 likes
shola hi sahi aag lagaane ke li.e aa phir noor ke manzar ko dikhaane ke li.e aa ye kis ne kaha hai mirii taqdeer banaa de aa apne hi haathon se mitaane ke li.e aa ai dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera tu zulf ki kamli men chhupaane ke li.e aa deewaar hai duniya ise raahon se hata de har rasm-e-mohabbat ko mitaane ke li.e aa matlab tiri aamad se hai darmaan se nahin hai hasrat ki qasam dil hi dukhaane ke li.e aa
Hasrat Jaipuri
6 likes
main us ki aankhoñ se chhalki sharaab peeta hooñ gareeb ho ke bhi mahangi sharaab peeta hooñ mujhe nashe men bahakte kabhi nahin dekha vo jaanta hai main kitnii sharaab peeta hooñ use bhi dekhooñ to pehchaanne men der lage kabhi kabhi to main itni sharaab peeta hooñ purane chaahne waalon ki yaad aane lage isee li.e main puraani sharaab peeta hooñ
Hasrat Jaipuri
10 likes
ye kaun aa gaii dil-ruba mahki mahki fazaa mahki mahki hawa mahki mahki vo aankhoñ men kaajal vo baalon men gajra hatheli pe us ke hina mahki mahki KHuda jaane kis kis ki ye jaan legi vo qaateel ada vo qaza mahki mahki savere savere mire ghar pe aayi ai hasrat vo baad-e-saba mahki mahki
Hasrat Jaipuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hasrat Jaipuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Hasrat Jaipuri's ghazal.







