jab rone baithta hooñ tab kya kasar rahe hai roomaal do do din tak jun abr tar rahe hai aah-e-sehr ki meri barchi ke vasvase se khurshid ke munh u uupar akshar sipar rahe hai aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-ravish se aane men us ke lekin kis ko khabar rahe hai un rozon itni ghaflat achchhii nahin idhar se ab iztiraab ham ko do do pahar rahe hai aab-e-hayaat ki si saari ravish hai us ki par jab vo uth chale hai ek aadh mar rahe hai talwaar ab laga hai be-dol paas rakhne KHoon aaj kal kisoo ka vo shokh kar rahe hai dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko tab se udhar hi akshar meri nazar rahe hai aaKHir kahaan talak ham ik roz ho chukenge barson se waada-e-shab har subh par rahe hai meer ab bahaar aayi sehra men chal junoon kar koi bhi fasl-e-gul men naadaan ghar rahe hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Meer Taqi Meer
mustoojib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafa hooñ har-chand ki jalta hooñ pe sargarm-e-wafa hooñ aate hain mujhe khoob se dono hunar-e-ishq rone ke tai aandhi hooñ kudhne ko bala hooñ is gulshan-e-duniya men shagufta na hua main hooñ ghuncha-e-afsurdah ki mardood-e-saba hooñ ham-chashm hai har aabla-e-paa ka mira ashk az-bas ki tiri raah men aankhoñ se chala hooñ aaya koi bhi tarah mire cheen ki hogii aazurda hooñ jeene se main marne se KHafaa hooñ daaman na jhatak haath se mire ki sitamgar hooñ khaak-e-sar-e-raah koi dam men hua hooñ dil khwaah jala ab to mujhe ai shab-e-hijraan main sokhta bhi muntazir-e-roz-e-jaza hooñ go taqat-o-aaraam-o-khor-o-khwaab ga.e sab baare ye ghaneemat hai ki jeeta to raha hooñ itnaa hi mujhe ilm hai kuchh main hooñ bahr-cheez ma'aloom nahin khoob mujhe bhi ki main kya hooñ behtar hai garz KHaamushi hi kehne se yaaraan mat poochho kuchh ahvaal ki mar mar ke jiya hooñ tab garm-e-sukhan kehne laga hooñ main ki ik umr jun shama' sar-e-shaam se ta-subh jala hooñ seena to kiya fazl-e-ilaahi se sabhi chaak hai waqt-e-dua meer ki ab dil ko laga hooñ
Meer Taqi Meer
0 likes
khat likh ke koi saada na us ko malool ho ham to hooñ bad-gumaan jo qaasid-e-rasool ho chaahoon to bhar ke kaulee utha luun abhii tumhein kaise hi bhari ho mire aage to phool ho surma jo noor bakshe hai aankhoñ ko khalk ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi KHaak dhool ho jaaven nisaar hone ko ham kis bisaat par ik neem jaañ rakhen hain so vo jab qubool ho ham in dinon men lag nahin padte hain subh-o-shaam warna dua karen to jo chahein husool ho dil le ke launde dilli ke kab ka pacha ga.e ab un se khaai pee hui shay kiya vasool ho naakaam is li.e ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to meer saahib-o-qibla ajuul ho
Meer Taqi Meer
0 likes
kya mire aane pe tu ai but-e-maghrur gaya kabhi us raah se niklaa to tujhe ghur gaya le gaya subh ke nazdeek mujhe KHvaab ai waaye aankh us vaqt khulii qaafila jab door gaya gor se naale nahin uthte to nay ugati hai jee gaya par na hamaara sar pur-shor gaya chashm-e-khun-basta se kal raat lahu phir tapka ham ne jaana tha ki bas ab to ye naasoor gaya na-tawan ham hain ki hain KHaak gali ki us ki ab to be-taaqati se dil ka bhi maqdoor gaya le kahii munh pe naqaab apne ki ai ghairat-e-subh shama' ke chahra-e-rakhshaan se to ab noor gaya naala-e-meer nahin raat se sunte ham log kya tire kooche se ai shokh vo ranjoor gaya
Meer Taqi Meer
0 likes
ab meer'-ji to achchhe zindeeq hi ban baithe peshaani pe de qashka zunnar pahan baithe aazurda dil-e-ulfat ham chupke hi behtar hain sab ro uthegi majlis jo kar ke sukhun baithe uryaan phiren kab tak ai kaash kahii aa kar ta gard biyaabaan ki baala-e-badan baithe paikaan-e-khadang us ka yuñ seene ke udhar hai jon maar-e-siyah koi kaadhe hue fan baithe juz khat ke khayal us ke kuchh kaam nahin ham ko sabzi pi.e ham akshar rahte hain magan baithe shamsher-e-sitam us ki ab go ka chale har-dam shoreeda-sar apne se ham baandh kafan baithe bas ho to idhar-udhar yuñ firne na den tujh ko naachaar tire ham ye dekhen hain chalan baithe
Meer Taqi Meer
0 likes
nahin waswaas jee ganwaane ke haaye re zauq dil lagaane ke mere taghaeer-e-haal par mat ja ittifaqaat hain zamaane ke dam-e-aakhir hi kya na aanaa tha aur bhi vaqt the bahaane ke is kudoorat ko ham samjhte hain dhab hain ye KHaak men milaane ke bas hain do burg-e-gul qafas men saba nahin bhooke ham aab-o-daane ke marne par baithe hain suno sahab bande hain apne jee chalaane ke ab garebaan kahaan ki ai naaseh chadh gaya haath us deewane ke chashm-e-najm sipahr jhapke hai sadqe us ankhdhiyaan ladaane ke dil-o-deen hosh-o-sabr sab hi ga.e aage aage tumhaare aane ke kab tu sota tha ghar mare aa kar jaage taalaa ghareeb-khaane ke miza-e-abroo-nigah se is ki meer kushta hain apne dil lagaane ke teer-o-talwaar-o-sail yakjaa hain saare asbaab maar jaane ke
Meer Taqi Meer
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meer Taqi Meer.
Similar Moods
More moods that pair well with Meer Taqi Meer's ghazal.







