jab tak nigar-e-dasht ka siina dukha na tha sahra men koi lala-e-sahra khila na tha do jhilen us ki ankhon men lahra ke so gaiin us vaqt meri 'umr ka dariya chadha na tha jaagi na thiin nason men tamanna ki naginen us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha dhunda karo jahan-e-tahayyur men 'umr bhar vo chalti phirti chhanv hai main ne kaha na tha ik bevafa ke samne aansu bahate ham itna hamari aankh ka paani mara na tha vo kaale hont jaam samajh kar chadha gae vo aab jis se main ne vuzu tak kiya na tha sab log apne apne khudaon ko laae the ik ham hi aise the ki hamara khuda na tha vo kaali ankhen shahr men mashhur thiin bahut tab un pe mote shishon ka chashma chadha na tha main sahib-e-ghhazal tha hasinon ki bazm men sar par ghanere baal the matha khula na tha jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha sahra mein koi lala-e-sahra khila na tha do jhilen us ki aankhon mein lahra ke so gain us waqt meri 'umr ka dariya chadha na tha jagi na thin nason mein tamanna ki naginen us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha dhunda karo jahan-e-tahayyur mein 'umr bhar wo chalti phirti chhanw hai main ne kaha na tha ek bewafa ke samne aansu bahate hum itna hamari aankh ka pani mara na tha wo kale hont jam samajh kar chadha gae wo aab jis se main ne wuzu tak kiya na tha sab log apne apne khudaon ko lae the ek hum hi aise the ki hamara khuda na tha wo kali aankhen shahr mein mashhur thin bahut tab un pe mote shishon ka chashma chadha na tha main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm mein sar par ghanere baal the matha khula na tha
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Bashir Badr
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
vo chaandni ka badan khushbuon ka saaya hai bahut aziz ha men hai magar paraaya hai utar bhi aao kabhi aasmaañ ke zeene se tumhein KHuda ne hamaare li.e banaya hai kahaan se aayi ye KHushboo ye ghar ki KHushboo hai is ajnabi ke andhere men kaun aaya hai mahak rahi hai zameen chaandni ke phoolon se KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai use kisi ki mohabbat ka e'tibaar nahin use zamaane ne shaayad bahut sataaya hai tamaam umr mira dil usii dhuen men ghuta vo ik charaaghh tha main ne use bujhaaya hai
Bashir Badr
5 likes
kisi ki yaad men palken zaraa bhigo lete udaas raat ki tanhaaiyon men ro lete dukhon ka bojh akelaa nahin sambhalta hai kahii vo milta to us se lipt ke ro lete agar safar men hamaara bhi hum-safar hota badi khushi se unhi pattharon pe so lete tumhaari raah men shaakhon pe phool sookh ga.e kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete ye kya ki roz vahii chaandni ka bistar ho kabhi to dhoop ki chadar bichha ke so lete
Bashir Badr
13 likes
agar yaqeen nahin aata to aazm aa.e mujhe vo aaina hai to phir aaina dikh aa.e mujhe ajab charaaghh hooñ din raat jalta rehta hooñ main thak gaya hooñ hawa se kaho buj aa.e mujhe main jis ki aankh ka aañsu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hooñ to ab ret se uth aa.e mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar hooñ koi to aa.e zaraa der ko rul aa.e mujhe main chahta hooñ ki tum hi mujhe ijaazat do tumhaari tarah se koi gale lag aa.e mujhe
Bashir Badr
9 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







