jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho ai jan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho ye khvab hai khushbu hai ki jhonka hai ki pal hai ye dhund hai badal hai ki saaya hai ki tum ho is diid ki saaat men kai rang hain larzan main huun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho dekho ye kisi aur ki ankhen hain ki meri dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho ye umr-e-gurezan kahin thahre to ye janun har saans men mujh ko yahi lagta hai ki tum ho har bazm men mauzu-e-sukhan dil-zadagan ka ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho ik dard ka phaila hua sahra hai ki main huun ik mauj men aaya hua dariya hai ki tum ho vo vaqt na aae ki dil-e-zar bhi soche is shahr men tanha koi ham sa hai ki tum ho abad ham ashufta-saron se nahin maqtal ye rasm abhi shahr men zinda hai ki tum ho ai jan-e-'faraz' itni bhi taufiq kise thi ham ko ghham-e-hasti bhi gavara hai ki tum ho jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho ai jaan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho ye khwab hai khushbu hai ki jhonka hai ki pal hai ye dhund hai baadal hai ki saya hai ki tum ho is did ki saat mein kai rang hain larzan main hun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho ye umr-e-gurezan kahin thahre to ye jaanun har sans mein mujh ko yahi lagta hai ki tum ho har bazm mein mauzu-e-sukhan dil-zadagan ka ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho ek dard ka phaila hua sahra hai ki main hun ek mauj mein aaya hua dariya hai ki tum ho wo waqt na aae ki dil-e-zar bhi soche is shahr mein tanha koi hum sa hai ki tum ho aabaad hum aashufta-saron se nahin maqtal ye rasm abhi shahr mein zinda hai ki tum ho ai jaan-e-'faraaz' itni bhi taufiq kise thi hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho
Related Ghazal
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Ahmad Faraz
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
3 likes
vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath
Ahmad Faraz
3 likes
KHaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete kya beet gaii ab ke faraaz ahl-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyun nahin dete
Ahmad Faraz
4 likes
awwal awwal ki dosti hai abhii ik ghazal hai ki ho rahi hai abhii main bhi shehr-e-wafa men nau-waarid vo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhii main bhi aisa kahaan ka zood-shanaas vo bhi lagta hai sochti hai abhii dil ki waarftagi hai apni jagah phir bhi kuchh ehtiyaat si hai abhii garche pehla sa ijtinaab nahin phir bhi kam kam supurdagi hai abhii kaisa mausam hai kuchh nahin khulta boonda-baan dii bhi dhoop bhi hai abhii khud-kalaami men kab ye nashsha tha jis tarah roo-b-roo koi hai abhii qurbaten laakh KHoob-soorat hon dooriyon men bhi dilkashi hai abhii fasl-e-gul men bahaar pehla gulaab kis ki zulfon men taankti hai abhii muddatein ho gaiin faraaz magar vo jo deewaangi ki thii hai abhii
Ahmad Faraz
4 likes
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







