kaaghaz kaaghaz dhool udegi fan banjar ho jaayega jis din sukhe dil ke aañsu sab patthar ho jaayega tootengi jab neend se palken so jaaunga chupke se jis jungle men raat padegi meraa ghar ho jaayega KHvaabon ke ye panchi kab tak shor karenge palkon par shaam dhalegi aur sannaata shaakhon par ho jaayega raat qalam le kar aayegi itni siyaahi chhidkegi din ka saara manzar-naama be-manzar ho jaayega nakhun se bhi iint kureden mil-jul kar ham-saaye to aangan ki deewaar na toote lekin dar ho jaayega qaisar ro lo ghazlein kah lo baaki hai kuchh dard abhii agli rutoon men yuñ lagta hai sab patthar ho jaayega
Related Ghazal
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
Tehzeeb Hafi
174 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo
Ajmal Siraj
50 likes
sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega itnaa mat chaaho use vo be-vafa ho jaayega ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega kitnii sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi doosra ho jaayega main KHuda ka naam le kar pee raha hooñ dosto zahar bhi is men agar hogaa davaa ho jaayega sab usii ke hain hawa KHushboo zameen o aasmaañ main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega
Bashir Badr
43 likes
tum agar seekhna chaaho mujhe batla dena aam sa fan to koi hai nahin tohfa dena ek hi shaKHs hai jis..ko ye hunar aata hai rooth jaane pe fazaa aur bhi mahka dena husn duniya men isee kaam ko bheja gaya hai ke jahaan aag lagii ho use bharka dena un buzurgo ka yahii kaam hua karta tha jahaan khoobi nazar aayi use chamka dena dil bataata hai mujhe akl ki baatein kya kya banda pooche ke teraa hai koi lena dena aur kuchh yaad na rehta tha ladai men use haan magar mere gujishta ka hawala dena uski fitrat men na tha tark-e-taalluq lekin doosre shaKHs ko is nahd pe pahuncha dena jaanta tha ki bahut khaak udaayega meri koi aasaan nahin tha use rastaa dena kya pata KHud se chhidi jang kahaan le jaa.e jab bhi yaad aaun meri jaan ka sadka dena
Jawwad Sheikh
22 likes
More from Qaisar-ul-Jafri
chaandni tha ki ghazal tha ki saba tha kya tha main ne ik baar tira naam suna tha kya tha ab ke bichhde hain to lagta hai ki kuchh toot gaya meraa dil tha ki tira ahad-e-wafaa tha kya tha KHud-kushi kar ke bhi bistar se utha hooñ zinda main ne kal raat ko jo zahar piya tha kya tha tum to kahte the KHuda tum se KHafaa hai qaisar doobte vaqt vo jo ik haath badha tha kya tha
Qaisar-ul-Jafri
1 likes
tiri gali men tamasha ki.e zam aanaa hua phir is ke baa'd na aanaa hua na j aanaa hua kuchh itnaa toot ke chaaha tha mire dil ne use vo shaKHs meri muravvat men be-vafa na hua hawa KHafaa thii magar itni sang-dil bhi na thii humeen ko shama' jalane ka hausla na hua mire khuloos ki saiqal-gari bhi haar gaii vo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua main zahar peeta raha zindagi ke haathon se ye aur baat hai meraa badan haraa na hua shu'ur chahiye tarteeb-e-khaar-o-khas ke li.e qafas ko tod ke rakha to aashiyana hua hamaare gaav ki miTTi hi ret jaisi thii ye ek raat ka sailaab to bah aanaa hua kisi ke saath gaiin dil ki dhadkanein qaisar phir is ke baa'd mohabbat ka haadisa na hua
Qaisar-ul-Jafri
1 likes
deewaron se mil kar rona achha lagta hai ham bhi paagal ho jaayenge aisa lagta hai kitne dinon ke pyaase honge yaaro socho to shabnam ka qatra bhi jin ko dariyaa lagta hai aankhoñ ko bhi le dooba ye dil ka paagal-pan aate jaate jo milta hai tum sa lagta hai is bastii men kaun hamaare aañsu ponchega jo milta hai us ka daaman bheega lagta hai duniya bhar ki yaaden ham se milne aati hain shaam dhale is soone ghar men mela lagta hai kis ko patthar maarun qaisar kaun paraaya hai sheesh-mahal men ik ik chehra apna lagta hai
Qaisar-ul-Jafri
0 likes
toote hue KHvaabon ki chubhan kam nahin hoti ab ro ke bhi aankhoñ ki jalan kam nahin hoti kitne bhi ghanere hon tiri zulf ke saa.e ik raat men sadiyon ki thakan kam nahin hoti honton se piyenchaahe nigaahon se churaayein zalim tiri khushbu-e-badan kam nahin hoti milnaa hai to mil jaao yahiin hashr men kya hai ik umr mire waada-shikan kam nahin hoti qaisar ki ghazal se bhi na tooti ye rivaayat is shahar men na-qadri-e-fan kam nahin hoti
Qaisar-ul-Jafri
4 likes
maayusi ki barf padi thii lekin mausam sard na tha aaj se pahle dil men yaaro itnaa thanda dard na tha tanhaaii ki bojhal raatein pahle bhi to barsi theen zakham nahin the itne qaateel gham itnaa be-dard na tha firte hain ab rusva hote kal tak ye raftaar na thii shahar men theen sau koo-e-malaamat dil aawaara-gard na tha marne par bhi lau deti thii deewane ke dil ki aag patharaai theen aañkhen lekin phool sa chehra zard na tha harf-e-tasalli mauj-e-hawa the mauj-e-hawa se hota kya seene ka patthar tha qaisar gham daaman ki gard na tha
Qaisar-ul-Jafri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qaisar-ul-Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Qaisar-ul-Jafri's ghazal.







