kaala ambar piili dharti ya allah ha-ha he-he hi-hi-hi-hi ya allah kargil aur kashmir hi tere naam hon kyuun bhaai bahan mahbuba beti ya allah piir payambar ko ab aur na zahmat de chulha chakki roti sabzi ya allah ghi misri bhi bhej kabhi akhbaron men kai dinon se chaae hai kadvi ya allah tu hi phuul sitara savan hariyali aur kabhi tu nagasaki ya allah kala ambar pili dharti ya allah ha-ha he-he hi-hi-hi-hi ya allah kargil aur kashmir hi tere nam hon kyun bhai bahan mahbuba beti ya allah pir payambar ko ab aur na zahmat de chulha chakki roti sabzi ya allah ghi misri bhi bhej kabhi akhbaron mein kai dinon se chae hai kadwi ya allah tu hi phul sitara sawan hariyali aur kabhi tu nagasaki ya allah
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin
Jawwad Sheikh
50 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
bas ik nigaah-e-naaz ko tarsa hua tha main haalanki shahar-shahar men faila hua tha main muddat ke baad aaina dekha to ro pada kis behtareen dost se rootha hua tha main pahna jo renkot to baarish nahin hui lautaa jo ghar to sharm se bheega hua tha main pahle bhi dii gaii thii mujhe bazm ki dua pahle bhi is dua pe akela hua tha main kitnii ajeeb baat hai na tu hi aa gaya tere hi intzaar men baitha hua tha main
Zubair Ali Tabish
47 likes
More from Nida Fazli
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya
Nida Fazli
1 likes
insaan men haiwaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi allah nigahbaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi khoon-khwaar darindon ke faqat naam alag hain har shahar bayaabaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi hindu bhi sukoon se hai musalmaan bhi sukoon se insaan pareshaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi rehmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat har khel ka maidaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi uthata hai dil-o-jaan se dhuaan dono taraf hi ye meer ka deevaan yahaañ bhi hai vahaañ bhi
Nida Fazli
1 likes
yuñ lag raha hai jaise koi aas-paas hai vo kaun hai jo hai bhi nahin aur udaas hai mumkin hai likhne waale ko bhi ye khabar na ho qisse men jo nahin hai vahii baat khaas hai maane na maane koi haqeeqat to hai yahii charkha hai jis ke paas usii ki kapaas hai itnaa bhi ban-sanwar ke na niklaa kare koi lagta hai har libaas men vo be-libaas hai chhota badaa hai paani KHud apne hisaab se utni hi har nadi hai yahaañ jitni pyaas hai
Nida Fazli
1 likes
dukh men neer baha dete the sukh men hansne lagte the seedhe-saade log the lekin kitne achchhe lagte the nafrat chadhti aandhi jaisi pyaar ubalte chashmon sa bairi hooñ ya sangi saa thii saare apne lagte the bahte paani dukh-sukh baanten ped bade boodhon jaise bacchon ki aahat sunte hi khet lahakne lagte the nadiya parbat chaand nigaahen maala ek kaii daane chhote chhote se aangan bhi koson phaile lagte the
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







