ghazalKuch Alfaaz

kaam aa sakeen na apni vafaaayen to kya kareinus bevafaa ko bhool na jaayen to kya karen mujh ko ye e'tiraaf duaon men hai asar jaayen na arsh par jo duaein to kya karen ik din ki baat ho to use bhool jaayen ham naazil hon dil pe roz balaen to kya karen zulmat-b-dosh hai mirii duniya-e-aashiqi taaron ki mish'ale na churaayen to kya karen shab bhar to un ki yaad men taare gina ki.e taare se din ko bhi nazar aayen to kya karen ahad-e-tarab ki yaad men roya ki.e bahut ab muskuraa ke bhool na jaayen to kya karen ab jee men hai ki un ko bhula kar hi dekh len vo baar baar yaad jo aayen to kya karen wa'de ke e'tibaar men taskin-e-dil to hai ab phir vahii fareb na khaayen to kya karen tark-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi magar milne lagen vafaa ki sazaayen to kya karen

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

More from Akhtar Shirani

gham-e-zamaana nahin ik azaab hai saaqi sharaab la mirii haalat KHaraab hai saaqi shabaab ke li.e tauba azaab hai saaqi sharaab la mujhe paas-e-shabaab hai saaqi utha piyaala ki gulshan pe phir barsne lagii vo may ki jis ka qadah mahtaab hai saaqi nikaal parda-e-meena se dukhtar-e-raz ko ghatta men kis li.e ye mahtaab hai saaqi tu waizoon ki na sun may-kashon ki khidmat kar gunah savaab ki khaatir savaab hai saaqi zamaane-bhar ke ghamon ko hai daawat-e-gharraa ki ek jaam men sab ka javaab hai saaqi kalaam jis ka hai me'raaj haafiz-o-khayyaam yahii vo akhtar-e-khaana-kharaab hai saaqi

Akhtar Shirani

0 likes

la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan zindagaani phir kahaan naadaan jawaani phir kahaan do ghadi mil baithne ko bhi ghaneemat jaaniye umr faani hi sahi ye umr-e-faani phir kahaan aa ki ham bhi ik taraana jhoom kar gaate chalen is chaman ke taaeron ki hum-zabaani phir kahaan hai zamaana ishq-e-salma men ganwa de zindagi ye zamaana phir kahaan ye zindagaani phir kahaan ek hi bastii men hain aasaan hai milnaa aa milo kya khabar le jaa.e daur-e-aasmaani phir kahaan fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizaan aane ko hai ye chaman ye bulbulein ye naghma-khwaani phir kahaan phool chun jee khol kar aish-o-tarab ke phool chun mausam-e-gul phir kahaan fasl-e-jawaani phir kahaan aakhiri raat aa gaii jee bhar ke mil len aaj to tum se milne dega daur-e-aasmaani phir kahaan aaj aa.e ho to sunte jaao ye taaza ghazal warna akhtar phir kahaan ye sher-khwaani phir kahaan

Akhtar Shirani

1 likes

vo kahte hain ranjish ki baatein bhula den mohabbat karen KHush rahen muskuraa den ghuroor aur hamaara ghuroor-e-mohabbat mah o mehr ko un ke dar par jhuka den jawaani ho gar jaavedaani to ya rab tiri saada duniya ko jannat banaa den shab-e-wasl ki be-khu dii chha rahi hai kaho to sitaaron ki shamaein bujha den bahaarein simat aayen khil jaayen kaliyaan jo ham tum chaman men kabhi muskuraa den ibadat hai ik be-khu dii se ibaarat haram ko may-e-mushk-boo se basa den vo aayenge aaj ai bahaar-e-mohabbat sitaaron ke bistar pe kaliyaan bichha den banata hai munh talkhi-e-may se zaahid tujhe baagh-e-rizwaan se kausar manga den jinhen umr bhar yaad aanaa sikhaaya vo dil se tiri yaad kyunkar bhula den tum afsaana-e-qais kya poochte ho idhar aao ham tum ko leila banaa den ye be-dardiyaan kab tak ai dard-e-ghurbat buton ko phir arz-e-haram men basa den vo sarmastiyaan bakhsh ai rashk-e-sheereen ki khusro ko khwaab-e-adam se jaga den tire vasl ki be-khu dii kah rahi hai KHudaai to kya ham KHuda ko bhula den unhen apni soorat pe yuñ naaz kab tha mire ishq-e-ruswa ko akhtar dua den

Akhtar Shirani

1 likes

yuñ to kis phool se rangat na gaii boo na gaii ai mohabbat mire pahluu se magar tu na gaii mit chale meri umeedon ki tarah harf magar aaj tak tere khatoon se tiri KHushboo na gaii kab bahaaron pe tire rang ka saaya na pada kab tire gesuon ko baad-e-sehr choo na gaii tire gesoo-e-moambar ko k abhii chheda tha mire haathon se abhii tak tiri KHushboo na gaii

Akhtar Shirani

0 likes

yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo apni aur mirii jawaani ko na barbaad karo sharm rone bhi na de bekli sone bhi na de is tarah to mirii raaton ko na barbaad karo had hai peene ki ki KHud peer-e-mugaan kahtaa hai is burii tarah jawaani ko na barbaad karo yaad aate ho bahut dil se bhulaane waalo tum ha men yaad karo tum ha men kyun yaad karo aasmaañ rutba mahal apne banaane waalo dil ka ujda hua ghar bhi koi aabaad karo ham kabhi aayen tire ghar magar aayenge zaroor tum ne ye vaa'da kiya tha ki nahin yaad karo chaandni raat men gul-gasht ko jab jaate the aah azraa kabhi us vaqt ko bhi yaad karo main bhi shaista-e-altaaf-e-sitam hooñ shaayad mere hote hue kyun gair pe bedaad karo sadqe us shokh ke akhtar ye likha hai jis ne ishq men apni jawaani ko na barbaad karo

Akhtar Shirani

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Akhtar Shirani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Akhtar Shirani's ghazal.