ghazalKuch Alfaaz

la pila saaqi sharaab-e-arghwaani phir kahaan zindagaani phir kahaan naadaan jawaani phir kahaan do ghadi mil baithne ko bhi ghaneemat jaaniye umr faani hi sahi ye umr-e-faani phir kahaan aa ki ham bhi ik taraana jhoom kar gaate chalen is chaman ke taaeron ki hum-zabaani phir kahaan hai zamaana ishq-e-salma men ganwa de zindagi ye zamaana phir kahaan ye zindagaani phir kahaan ek hi bastii men hain aasaan hai milnaa aa milo kya khabar le jaa.e daur-e-aasmaani phir kahaan fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-khizaan aane ko hai ye chaman ye bulbulein ye naghma-khwaani phir kahaan phool chun jee khol kar aish-o-tarab ke phool chun mausam-e-gul phir kahaan fasl-e-jawaani phir kahaan aakhiri raat aa gaii jee bhar ke mil len aaj to tum se milne dega daur-e-aasmaani phir kahaan aaj aa.e ho to sunte jaao ye taaza ghazal warna akhtar phir kahaan ye sher-khwaani phir kahaan

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ye pyaar teri bhool hai qubool hai main sang hooñ tu phool hai qubool hai dagaa bhi dooñga pyaar men kabhi kabhi ki ye miraa usool hai qubool hai tujhe jahaan azeez hai to chhod ja mujhe ye shay fuzool hai qubool hai tu roothegi to main manaaunga nahin jo rule hai vo rule hai qubool hai lipt ai shaakhe gul magar ye soch kar miraa badan babool hai qubool hai yahii hai gar tiri raza to bol phir qubool hai qubool hai qubool hai

Varun Anand

42 likes

kise fursat-e-mah-o-saal hai ye sawaal hai koi waqt hai bhi ki jaal hai ye sawaal hai na hai fikr-e-gardish-e-aasmaan na khayal-e-jaan mujhe phir ye kaisa malaal hai ye sawaal hai vo sawaal jiska javaab hai meri zindagi meri zindagi ka sawaal hai ye sawaal hai main bichhad ke tujh se bulandiyon pe jo past hooñ ye urooj hai ki zawaal hai ye sawaal hai

Abbas Qamar

46 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

More from Akhtar Shirani

gham-e-zamaana nahin ik azaab hai saaqi sharaab la mirii haalat KHaraab hai saaqi shabaab ke li.e tauba azaab hai saaqi sharaab la mujhe paas-e-shabaab hai saaqi utha piyaala ki gulshan pe phir barsne lagii vo may ki jis ka qadah mahtaab hai saaqi nikaal parda-e-meena se dukhtar-e-raz ko ghatta men kis li.e ye mahtaab hai saaqi tu waizoon ki na sun may-kashon ki khidmat kar gunah savaab ki khaatir savaab hai saaqi zamaane-bhar ke ghamon ko hai daawat-e-gharraa ki ek jaam men sab ka javaab hai saaqi kalaam jis ka hai me'raaj haafiz-o-khayyaam yahii vo akhtar-e-khaana-kharaab hai saaqi

Akhtar Shirani

0 likes

zamaan-e-hijr mite daur-e-wasl-e-yaar aa.e ilaahi ab to khizaan jaa.e aur bahaar aa.e sitam-zareefi-e-fitrat ye kya mu'ammaa hai ki jis kali ko bhi soonghoon main boo-e-yaar aa.e chaman ki har kali aamaada-e-tabassum hai bahaar ban ke mirii jaan-e-nau-bahaar aa.e hain tishna-kaam ham un baadlon se pooche koi kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aa.e tire khayal ki be-taabiyaan ma'az-allah ki ek baar bhulaayen to laakh baar aa.e vo aayen yuñ mire aagosh-e-ishq men akhtar ki jaise aankhoñ men ik khwaab-e-be-qaraar aa.e

Akhtar Shirani

0 likes

vo kahte hain ranjish ki baatein bhula den mohabbat karen KHush rahen muskuraa den ghuroor aur hamaara ghuroor-e-mohabbat mah o mehr ko un ke dar par jhuka den jawaani ho gar jaavedaani to ya rab tiri saada duniya ko jannat banaa den shab-e-wasl ki be-khu dii chha rahi hai kaho to sitaaron ki shamaein bujha den bahaarein simat aayen khil jaayen kaliyaan jo ham tum chaman men kabhi muskuraa den ibadat hai ik be-khu dii se ibaarat haram ko may-e-mushk-boo se basa den vo aayenge aaj ai bahaar-e-mohabbat sitaaron ke bistar pe kaliyaan bichha den banata hai munh talkhi-e-may se zaahid tujhe baagh-e-rizwaan se kausar manga den jinhen umr bhar yaad aanaa sikhaaya vo dil se tiri yaad kyunkar bhula den tum afsaana-e-qais kya poochte ho idhar aao ham tum ko leila banaa den ye be-dardiyaan kab tak ai dard-e-ghurbat buton ko phir arz-e-haram men basa den vo sarmastiyaan bakhsh ai rashk-e-sheereen ki khusro ko khwaab-e-adam se jaga den tire vasl ki be-khu dii kah rahi hai KHudaai to kya ham KHuda ko bhula den unhen apni soorat pe yuñ naaz kab tha mire ishq-e-ruswa ko akhtar dua den

Akhtar Shirani

1 likes

kis ko dekha hai ye hua kya hai dil dhadakta hai maajra kya hai ik mohabbat thii mit chuki ya rab teri duniya men ab dhara kya hai dil men leta hai chutkiyaan koi h aa.e is dard ki davaa kya hai hooren nekon men bat chuki hongi baagh-e-rizwaan men ab rakha kya hai us ke ahad-e-shabaab men jeena jeene waalo tumhein hua kya hai ab davaa kaisi hai dua ka vaqt tere beemaar men raha kya hai yaad aata hai lucknow akhtar khuld ho aayen to bura kya hai

Akhtar Shirani

0 likes

na tumhaara husn jawaan raha na hamaara ishq jawaan rahana vo tum rahe na vo ham rahe jo raha to gham ka samaan raha na vo baagh hain na ghataaein hain na vo phool hain na fazaayein hainna vo nikhaten na hawaaein hain na vo be-khu dii ka samaan raha na vo dil hai ab na javaaniyaan na vo aashiqi ki kahaaniyaanna vo gham na ashk-fishaaniyaan na vo dard-e-dil ka nishaan raha na chaman hai vo na bahaar hai na vo bulbulein na hazaar hai yahii chaar-samt pukaar hai na vo rut hai ab na samaan raha na vo umr hai na masarratein na vo aish hai na vo ishrateinna vo aarzooen na hasratein na khushi ka naam-o-nishaan raha na nishaan hai saaqi-o-jaam ka na vo baada-ha-e-chaman-adana mughanniya rahi mahv-e-saaz na saaz mast-e-fughaan raha ye bahaar-e-gulshan-e-aab-o-gil hai fana asar to hon kyun khajil vo gul-e-fasurda hai meraa dil ki hamesha nazr-e-khizaan raha nahin sabr saaqiya la bhi de qadah-e-bahaar utha bhi de abhii sin hai la ke pila bhi de ki hamesha kaun jawaan raha kahooñ kya ki ranj-reseeda hooñ main b-rang-e-abr rameeda hooñ nafs-e-shameem-e-pareeda hooñ ki raha tabaah jahaan raha asar-e-bahaar-e-khizaan asar hai ki hai fasurda mirii nazarna hawaa-e-ishrat-e-baal-o-par na junoon-e-baagh-e-jinaan raha main gul-e-rameeda-e-rang-o-boo tu bahaar-e-may-kada-e-numoo main hamesha khasta-e-aarzoo tu hamesha aish-e-javaan raha na sukoon-e-dil na qaraar-e-jaan na qayaam-e-sabr koi zamaan ye sarishk-e-gham ka hai kaarwaan ki yoonhi hamesha ravaan raha tu mata-e-gul-kad-e-nazar gul-e-nau-bahaar-e-behesht-asar main vo andaleeb-e-shikasta par ki hamesha mahv-e-fighaan raha na vo soz-o-saaz-e-daroo'n hai ab na vo chashm-e-gul-kada-e-goon hai abna vo sar hai ab na junoon hai ab na vo zauq-e-sho'la-chakaan raha hai falak ki badli hui nazar kahii kisi se akhtar-e-naala-gar ki main us ke zor-e-alam-asar se hamesha mahv-e-fighaan raha

Akhtar Shirani

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Akhtar Shirani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Akhtar Shirani's ghazal.