ghazalKuch Alfaaz

kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin asman nahin milta tamam shahr men aisa nahin khulus na ho jahan umiid ho is ki vahan nahin milta kahan charaghh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charaghh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar men hi ghar ka nishan nahin milta kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin aasman nahin milta tamam shahr mein aisa nahin khulus na ho jahan umid ho is ki wahan nahin milta kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charagh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf kahaan hai shahar men ab koi zindagi ki taraf sabhi ki nazaron men ghaaeb tha jo vo haazir tha kisi ne ruk ke nahin dekha aadmi ki taraf tamaam shahar ki shamaein usii se raushan theen kabhi ujaala bahut tha kisi gali ki taraf kahii ki bhook ho har khet us ka apna hai kahii ki pyaas ho jaayegi vo na dii ki taraf na nikle KHair se allaama qaul se baahar yagaana toot ga.e jab chale khu dii ki taraf

Nida Fazli

0 likes

raakshas tha na KHuda tha pahle aadmi kitna badaa tha pahle aasmaañ khet samundar sab laal KHoon kaaghaz pe ugaa tha pahle main vo maqtool jo qaateel na banaa haath meraa bhi utha tha pahle ab kisi se bhi shikaayat na rahi jaane kis kis se gilaa tha pahle shahar to baa'd men veeraan hua meraa ghar KHaak hua tha pahle

Nida Fazli

2 likes

kabhi kabhi yuñ bhi ham ne apne jee ko bahlāya hai jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaaya hai ham se poochho izzat waalon ki izzat ka haal kabhi ham ne bhi ik shahar men rah kar thoda naam kamaaya hai us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun aangan men hanste bacchon ko be-kaaran dhamkaaya hai us bastii se chhut kar yuñ to har chehre ko yaad kiya jis se thodii si an-ban thii vo akshar yaad aaya hai koi mila to haath milaaya kahii ga.e to baatein keen ghar se baahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.