kabhi yuun bhi aa miri aankh men ki miri nazar ko khabar na ho mujhe ek raat navaz de magar is ke baad sahar na ho vo bada rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare tujhe bhulne ki dua karun to miri dua men asar na ho mire bazuon men thaki thaki abhi mahv-e-khvab hai chandni na uthe sitaron ki palki abhi ahaton ka guzar na ho ye ghhazal ki jaise hiran ki aankh men pichhli raat ki chandni na bujhe kharabe ki raushni kabhi be-charaghh ye ghar na ho kabhi din ki dhuup men jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke yuun hi saath saath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho mujhe ek raat nawaz de magar is ke baad sahar na ho wo bada rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare tujhe bhulne ki dua karun to meri dua mein asar na ho mere bazuon mein thaki thaki abhi mahw-e-khwab hai chandni na uthe sitaron ki palki abhi aahaton ka guzar na ho ye ghazal ki jaise hiran ki aankh mein pichhli raat ki chandni na bujhe kharabe ki raushni kabhi be-charagh ye ghar na ho kabhi din ki dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko chum ke yun hi sath sath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
More from Bashir Badr
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko
Bashir Badr
1 likes
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai
Bashir Badr
1 likes
jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha sehra men koi laala-e-sehra khila na tha do jheelein us ki aankhoñ men lahara ke so gaeeinus vaqt meri umr ka dariyaa chadha na tha jaagi na theen nason men tamannaa ki naaginenus gandumee sharaab ko jab tak chakha na tha dhoonda karo jahaan-e-tahayyur men umr bhar vo chalti phirti chaanv hai main ne kaha na tha ik be-vafa ke saamne aañsu behaate ham itnaa hamaari aankh ka paani mara na tha vo kaale hont jaam samajh kar chadha ga.e vo aab jis se main ne wuzoo tak kiya na tha sab log apne apne KHudaaon ko laaye the ek ham aise the ki hamaara KHuda na tha vo kaali aañkhen shahar men mashhoor theen bahut tab un pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha main saahib-e-ghazal tha haseenon ki bazm men sar par ghanere baal the maatha khula na tha
Bashir Badr
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







