ghazalKuch Alfaaz

kaha jo ham ne ''hamen dar se kyuun uthate ho'' kaha ki ''is liye tum yaan jo ghhul machate ho'' kaha ''ladate ho kyuun ham se ghhair ko hamdam'' kaha ki ''tum bhi to ham se nigah ladate ho'' kaha jo hal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ''ghhalat hai ye baten jo tum banate ho'' kaha ''jatate ho kyuun ham se roz naz-o-ada'' kaha ki ''tum bhi to chahat hamen jatate ho'' kaha ki ''arz karen ham pe jo guzarta hai?'' kaha ''khabar hai hamen kyuun zaban pe laate ho'' kaha ki ''ruthe ho kyuun ham se kya sabab is kaa'' kaha ''sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho'' kaha ki ''ham nahin aane ke yan'' to us ne 'nazir' kaha ki ''socho to kya aap se tum aate ho'' kaha jo hum ne hamen dar se kyun uthate ho kaha ki is liye tum yan jo ghul machate ho kaha ladate ho kyun hum se ghair ko hamdam kaha ki tum bhi to hum se nigah ladate ho kaha jo haal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ghalat hai ye baaten jo tum banate ho kaha jatate ho kyun hum se roz naz-o-ada kaha ki tum bhi to chahat hamein jatate ho kaha ki arz karen hum pe jo guzarta hai? kaha khabar hai hamein kyun zaban pe late ho kaha ki ruthe ho kyun hum se kya sabab is ka kaha sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho kaha ki ham nahin aane ke yan to us ne 'nazir' kaha ki socho to kya aap se tum aate ho

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nazeer Akbarabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nazeer Akbarabadi's ghazal.