kahan ansuon ki ye saughhat hogi nae log honge nai baat hogi main har haal men muskurata rahunga tumhari mohabbat agar saath hogi charaghhon ko ankhon men mahfuz rakhna badi duur tak raat hi raat hogi pareshan ho tum bhi pareshan huun main bhi chalo mai-kade men vahin baat hogi charaghhon ki lau se sitaron ki zau tak tumhen main milunga jahan raat hogi jahan vadiyon men nae phuul aae hamari tumhari mulaqat hogi sadaon ko alfaz milne na paaen na badal ghirenge na barsat hogi musafir hain ham bhi musafir ho tum bhi kisi mod par phir mulaqat hogi kahan aansuon ki ye saughat hogi nae log honge nai baat hogi main har haal mein muskuraata rahunga tumhaari mohabbat agar sath hogi charaghon ko aankhon mein mahfuz rakhna badi dur tak raat hi raat hogi pareshan ho tum bhi pareshan hun main bhi chalo mai-kade mein wahin baat hogi charaghon ki lau se sitaron ki zau tak tumhein main milunga jahan raat hogi jahan wadiyon mein nae phul aae hamari tumhaari mulaqat hogi sadaon ko alfaz milne na paen na baadal ghirenge na barsat hogi musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi kisi mod par phir mulaqat hogi
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
More from Bashir Badr
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko
Bashir Badr
1 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai
Bashir Badr
1 likes
dil men ik tasveer chhupi thii aan basi hai aankhoñ men shaayad ham ne aaj ghazal si baat likhi hai aankhoñ men jaise ik hareejan ladki mandir ke darwaaze par shaam diyon ki thaal sajaaye jhaank rahi hai aankhoñ men is roomaal ko kaam men laao apni palken saaf karo maila maila chaand nahin hai dhool jamee hai aankhoñ men padhta ja ye manzar-naama zard azeem pahaadon ka dhoop khili palkon ke u uupar barf jamee hai aankhoñ men main ne ik novel likkha hai aane waali subh ke naam kitnii raaton ka jaaga hooñ neend bharii hai aankhoñ men
Bashir Badr
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







