kal apne shahr ki bas men savar hote hue vo dekhta tha mujhe ashk-bar hote hue parinde aae to gumbad pe baith jaenge nahin shajar ki zarurat mazar hote hue hai ek aur bhi surat raza-o-kufr ke biich ki shak bhi dil men rahe e'tibar hote hue mire vajud se dhaga nikal gaya hai dost main be-shumar hua huun shumar hote hue dubo raha hai mujhe dubne ka khauf ab tak bhanvar ke biich huun dariya ke paar hote hue vo qaid-khana ghhanimat tha mujh se be-ghar ko ye zehn hi men na aaya farar hote hue kal apne shahr ki bas mein sawar hote hue wo dekhta tha mujhe ashk-bar hote hue parinde aae to gumbad pe baith jaenge nahin shajar ki zarurat mazar hote hue hai ek aur bhi surat raza-o-kufr ke bich ki shak bhi dil mein rahe e'tibar hote hue mere wajud se dhaga nikal gaya hai dost main be-shumar hua hun shumar hote hue dubo raha hai mujhe dubne ka khauf ab tak bhanwar ke bich hun dariya ke par hote hue wo qaid-khana ghanimat tha mujh se be-ghar ko ye zehn hi mein na aaya farar hote hue
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Afzal Khan
mujhe rona nahin awaaz bhi bhari nahin karne mohabbat ki kahaanii men adaakaari nahin karne hawa ke khauf se lipta hua hooñ khushk tahni se kahii jaana nahin jaane ki tayyaari nahin karne tahammul ai mohabbat hijr pathreela ilaqa hai tujhe is raaste par tez-raftaari nahin karne hamaara dil zaraa ukta gaya tha ghar men rah rah kar yoonhi bazaar aa.e hain khareedaari nahin karne ghazal ko kam-nigaahon ki pahunch se door rakhta hooñ mujhe banjar dimaagon men shjar-kaari nahin karne wasiyyat ki thii mujh ko qais ne sehra ke baare men ye meraa ghar hai is ki chaar-deewaari nahin karne
Afzal Khan
0 likes
vo jo ik shaKHs vahaañ hai vo yahaañ kaise ho hijr par vasl ki haalat ka gumaan kaise ho be-numoo KHvaab men paivast jaden hain meri ek gamle men koi nakhl jawaan kaise ho tum to alfaaz ke nashtar se bhi mar jaate the ab jo haalaat hain ai ahl-e-zabaan kaise ho aankh ke pahle kinaare pe khada aakhiri ashk ranj ke rahm-o-karam par hai ravaan kaise ho bhaav-taav men kamii beshee nahin ho sakti haan magar tujh se khareedaar ko naan kaise ho milte rahte hain mujhe aaj bhi ghalib ke khutoot vahii andaaz-e-takhaatub ki miyaan kaise ho
Afzal Khan
0 likes
tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota
Afzal Khan
0 likes
tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota
Afzal Khan
0 likes
aaj hi furqat se kal ka mas'ala chhedoonga main mas'ala hal ho to hal ka mas'ala chhedoonga main vasl o hijraan men tanaasub raast hona chahiye ishq ke radd-e-amal ka mas'ala chhedoonga main dekhna sab log mujh ko khaariji thehraaenge kal yahaañ jang-e-jamal ka mas'ala chhedoonga main kashtiyon waale mujhe tawaan de kar paar jaayen warna lehron men khalal ka mas'ala chhedoonga main mil hi jaayenge kahii to mujh ko bedil-haidri kooza-gar waali ghazal ka mas'ala chhedoonga main is shajar ki ek tahni parle aangan men bhi hai apne ham-saaye se phal ka mas'ala chhedoonga main
Afzal Khan
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Afzal Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Afzal Khan's ghazal.







