kal zaroor aaoge lekin aaj kya karoon badh raha hai qalb ka ikhtilaaj kya karoon kya karoon koi nahin ehtiyaaj dost ko aur mujh ko dost ki ehtiyaaj kya karoon ab vo fikrmand hain kah diya tabeeb ne ishq hai junoon nahin main ilaaj kya karoon ghairat-e-raqeeb ka shikwa kar rahe ho tum is muaamle men sakht hai mizaaj kya karoon maa-siwa-e-aashiqi aur kuchh kiya bhi ho soojhtaa hi kuchh nahin kaam-kaaj kya karoon mahv-e-kaar-e-deen hooñ main boriya-nasheen hooñ main raahzan nahin hooñ main takht-o-taaj kya karoon zor aur zar baghair ishq kya karoon hafiz chal gaya hai mulk men ye rivaaj kya karoon
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Hafeez Jalandhari
aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge
Hafeez Jalandhari
1 likes
dosti ka chalan raha hi nahin ab zamaane ki vo hawa hi nahin sach to ye hai sanam-kade waalo dil KHuda ne tumhein diya hi nahin palat aane se ho gaya saabit nama-bar tu vahaañ gaya hi nahin haal ye hai ki ham ghareebon ka haal tum ne k abhii suna hi nahin kya chale zor dasht-e-vahshat ka ham ne daaman k abhii siya hi nahin gair bhi ek din marengay zaroor un ke hisse men kya qaza hi nahin us ki soorat ko dekhta hooñ main meri seerat vo dekhta hi nahin ishq meraa hai shahar men mashhoor aur tum ne abhii suna hi nahin qissa-e-qais sun ke farmaaya jhooth ki koi intiha hi nahin vaasta kis ka den hafiz un ko un buton ka koi KHuda hi nahin
Hafeez Jalandhari
0 likes
ham hi men thii na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne ha men bhula diya ham na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zabaan khulegi phir ham na agar suna sake hosh men aa chuke the ham josh men aa chuke the ham bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikaayaten raheen dil men shikaayaten raheen lab na magar hila sake shauq-e-visaal hai yahaañ lab pe sawaal hai yahaañ kis ki majaal hai yahaañ ham se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kaan dhar sake sun ke yaqeen kar sake ja ke unhen suna sake izz se aur badh gaii barhamee-e-mizaaj-e-dost ab vo kare ilaaj-e-dost jis ki samajh men aa sake ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun tiri tarah hafiz dard ke geet ga sake
Hafeez Jalandhari
0 likes
mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main
Hafeez Jalandhari
0 likes
dil se tira khayal na jaa.e to kya karoon main kya karoon koi na bat aa.e to kya karoon ummeed-e-dil-nasheen sahi duniya haseen sahi tere baghair kuchh bhi na bh aa.e to kya karoon dil ko KHuda ki yaad tale bhi daba chuka kam-bakht phir bhi chain na paa.e to kya karoon din ho ki raat ek mulaqaat ki hai baat itni si baat bhi na ban aa.e to kya karoon jo kuchh banaa diya hai tire intizaar ne ab sochta hooñ tu idhar aa.e to kya karoon deeda-varaan-e-but-kada ik mashwara to do kaaba jhalak yahaañ bhi dikh aa.e to kya karoon apni nafi to falsafi-jee qatl-e-nafs hai kahiye koi ye jurm sujh aa.e to kya karoon ye h aa.e h aa.e mazhka-angez hai to ho dil se uthe zabaan jalaae to kya karoon main kya karoon main kya karoon gardaan ban gaii main kya karoon koi na bat aa.e to kya karoon akhbaar se mirii khabar-e-marg ai hafiz meraa hi dost padh ke sun aa.e to kya karoon
Hafeez Jalandhari
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.







