ghazalKuch Alfaaz

kam purana bahut naya tha firaq ik 'ajab ramz-ashna tha firaq duur vo kab hua nigahon se dhadkanon men basa hua hai firaq sham-e-ghham ke sulagte sahra men ik umandti hui ghata tha firaq amn tha pyaar tha mohabbat tha rang tha nuur tha nava tha firaq fasle nafraton ke mit jaaen pyaar hi pyaar sochta tha firaq ham se ranj-o-alam ke maron ko kis mohabbat se dekhta tha firaq 'ishq insaniyat se tha us ko har ta'assub se mavara tha firaq kam purana bahut naya tha firaq ek 'ajab ramz-ashna tha firaq dur wo kab hua nigahon se dhadkanon mein basa hua hai firaq sham-e-gham ke sulagte sahra mein ek umandti hui ghata tha firaq amn tha pyar tha mohabbat tha rang tha nur tha nawa tha firaq fasle nafraton ke mit jaen pyar hi pyar sochta tha firaq hum se ranj-o-alam ke maron ko kis mohabbat se dekhta tha firaq 'ishq insaniyat se tha us ko har ta'assub se mawara tha firaq

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Habib Jalib

us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya

Habib Jalib

1 likes

phir dil se aa rahi hai sadaa us gali men chal shaayad mile ghazal ka pata us gali men chal kab se nahin hua hai koi she'r kaam ka ye she'r ki nahin hai fazaa us gali men chal vo baam o dar vo log vo rusvaaiyon ke zakham hain sab ke sab aziz juda us gali men chal us phool ke baghair bahut jee udaas hai mujh ko bhi saath le ke saba us gali men chal duniya to chahti hai yoonhi faasle rahen duniya ke mashwaron pe na ja us gali men chal be-noor o be-asar hai yahaañ ki sada-e-saaz tha us sukoot men bhi mazaa us gali men chal jaalib pukaarti hain vo shola-nawaiyaan ye sard rut ye sard hawa us gali men chal

Habib Jalib

2 likes

aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah

Habib Jalib

1 likes

kahii aah ban ke lab par tira naam aa na jaa.e tujhe be-vafa kahooñ main vo maqaam aa na jaa.e zaraa zulf ko sambhalo mira dil dhadak raha hai koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaa.e jise sun ke toot jaa.e mira aarzoo bhara dil tiri anjuman se mujh ko vo payaam aa na jaa.e vo jo manzilon pe la kar kisi hum-safar ko looten unhin rahzano men teraa kahii naam aa na jaa.e isee fikr men hain ghaltan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai vo nizaam aa na jaa.e ye mah o nujoom hañs len mire aañsuon pe jaalib mira mahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaa.e

Habib Jalib

0 likes

kuchh log khayaalon se chale jaayen to soyen beete hue din raat na yaad aayen to soyen chehre jo k abhii ham ko dikhaai nahin denge aa aa ke tasavvur men na tardpaayen to soyen barsaat ki rut ke vo tarab-rez manaazir seene men na ik aag si bharkaayen to soyen subhon ke muqaddar ko jagaate hue mukhde aanchal jo nigaahon men na leharaayen to soyen mehsoos ye hota hai abhii jaag rahe hain lahore ke sab yaar bhi so jaayen to soyen

Habib Jalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Habib Jalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.