kaun aaega yahan koi na aaya hoga mera darvaza havaon ne hilaya hoga dil-e-nadan na dhadak ai dil-e-nadan na dhadak koi khat le ke padosi ke ghar aaya hoga is gulistan ki yahi riit hai ai shakh-e-gul tu ne jis phuul ko paala vo paraya hoga dil ki qismat hi men likkha tha andhera shayad varna masjid ka diya kis ne bujhaya hoga gul se lipti hui titli ko gira kar dekho andhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga khelne ke liye bachche nikal aae honge chand ab us ki gali men utar aaya hoga 'kaif' pardes men mat yaad karo apna makan ab ke barish ne use tod giraya hoga kaun aaega yahan koi na aaya hoga mera darwaza hawaon ne hilaya hoga dil-e-nadan na dhadak ai dil-e-nadan na dhadak koi khat le ke padosi ke ghar aaya hoga is gulistan ki yahi rit hai ai shakh-e-gul tu ne jis phul ko pala wo paraya hoga dil ki qismat hi mein likkha tha andhera shayad warna masjid ka diya kis ne bujhaya hoga gul se lipti hui titli ko gira kar dekho aandhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga khelne ke liye bachche nikal aae honge chand ab us ki gali mein utar aaya hoga 'kaif' pardes mein mat yaad karo apna makan ab ke barish ne use tod giraya hoga
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
nahin aata kisi par dil hamaara vahii kashtii vahii saahil hamaara tere dar par karenge naukri ham teri galiyaan hain mustaqbil hamaara kabhi milta tha koi hotelon men kabhi bharta tha koi bill hamaara
Tehzeeb Hafi
83 likes
More from Kaif Bhopali
khaanqaah men sufi munh chhu paa.e baitha hai ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai qatl to nahin badla qatl ki ada badli teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain gair un ke kooche men saa.e saa.e baitha hai waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai
Kaif Bhopali
0 likes
tum se na mil ke KHush hain vo daava kidhar gaya do roz men gulaab sa chehra utar gaya jaan-e-bahaar tum ne vo kaañte chubhoye hain main har gul-e-shagufta ko choone se dar gaya is dil ke tootne ka mujhe koi gham nahin achha hua ki paap kata dard-e-sar gaya main bhi samajh raha hooñ ki tum tum nahin rahe tum bhi ye soch lo ki mira kaif mar gaya
Kaif Bhopali
0 likes
salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaa.e siyaahi KHoon ban jaa.e qalam talwaar ho jaa.e zamaane se kaho kuchh saiqaa-raftaar ho jaa.e hamaare saath chalne ke li.e taiyyaar ho jaa.e zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mira deedaar ho jaa.e vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaa.e mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana ham nigaahen daal den jis par vahii sarkaar ho jaa.e
Kaif Bhopali
1 likes
haaye logon ki karam-farmaiyaan tohmaten badnaamiyaan ruswaaiyaan zindagi shaayad isee ka naam hai dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan kya zamaane men yuñ hi kattee hai raat karvatein betaabiyaan angadaaiyaan kya yahii hoti hai shaam-e-intizaar aahaten ghabrahaten parchaaiyaan ek rind-e-mast ki thokar men hain shaahiyaan sultaaniyaan daraaiyaan ek paikar men simat kar rah gaiin khoobiyaan zebaaiyaan raanaaiyaan rah gaiin ik tifl-e-maktab ke huzoor hikmaten aagaahiyaan danaaiyan zakham dil ke phir hare karne lagin badliyaan barkha rutein purvaaiyaan deeda-o-daanista un ke saamne laghzishein naakaamiyaan paspaa-iyaan mere dil ki dhadkano men dhal gaiin choodiyaan mausiqiyaan shehnaaiyaan un se mil kar aur bhi kuchh badh gaiin uljhane fikren qayaas-aaraaiyaan kaif paida kar samundar ki tarah wusaaten khaamoshiyaan gehraaiyaan
Kaif Bhopali
2 likes
tan-e-tanha muqaabil ho raha hooñ main hazaaron se haseenon se raqeebon se ghamon se gham-gusaaron se unhen main cheen kar laaya hooñ kitne daavedaaron se shafaq se chaandni raaton se phoolon se sitaaron se sune koi to ab bhi raushni awaaz deti hai pahaadon se gufaaon se biyaabaanon se ghaaron se hamaare daag-e-dil zakham-e-jigar kuchh milte-julte hain gulon se gul-rukho'n se mah-vasho_n se maah-paaron se kabhi hota nahin mehsoos vo yuñ qatl karte hain nigaahon se kankhiyon se adaaon se ishaaron se hamesha ek pyaasi rooh ki awaaz aati hai kuon se panghaton se naddiyon se aabshaaron se na aa.e par na aa.e vo unhen kya kya khabar bheji lifaafon se khatoon se dukh bhare parchon se taaron se zamaane men kabhi bhi qismaten badla nahin karti umeedon se bharoson se dilaason se sahaaron se vo din bhi h aa.e kya din the jab apna bhi ta'alluq tha dashahre se diwali se basanton se bahaaron se kabhi patthar ke dil ai kaif pighle hain na pighlenge munaajaaton se fariyadon se cheekh'on se pukaaron se
Kaif Bhopali
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaif Bhopali.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaif Bhopali's ghazal.







