ghazalKuch Alfaaz

kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya mire qaabu men na paharon dil-e-naashaad aaya vo mira bhoolne vaala jo mujhe yaad aaya koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-bedaad aaya laaye hain log janaaze ki tarah mahshar men kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kehna khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassaad aaya us ke jalwe ko garz kaun-o-makaan se kya tha daad lene ke li.e husn-e-khuda-daad aaya bastiyon se yahii awaaz chali aati hai jo kiya tu ne vo aage tire farhaad aaya dil-e-veeraan se raqeebon ne muraadein paai kaam kis kis ke mira khirman-e-barbaad aaya ishq ke aate hi munh par mire phooli hai basant ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mire haath koi khaama-e-faulaad aaya eed hai qatl mira ahl-e-tamaasha ke li.e sab gale milne lage jab ki vo jallaad aaya chain karte hain vahaañ ranj uthaane waale kaam uqba men hamaara dil-e-naashaad aaya dii shab-e-wasl mo'azzin ne azaan pichhli raat haaye kam-bakht ko kis vaqt KHuda yaad aaya mire naale ne sunaai hai kharee kis kis ko munh farishton pe ye gustaakh ye azaad aaya gham-e-jaaved ne dii mujh ko mubaarakbaa dii jab suna ye ki unhen sheva-e-bedaad aaya main tamanna-e-shahaadat ka mazaa bhool gaya aaj is shauq se armaan se jallaad aaya shaadiyaana jo diya naala o shevan ne diya jab mulaqaat ko naashaad ki naashaad aaya leejie suniye ab afsaana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aaya aap ki bazm men sab kuchh hai magar daagh nahin ham ko vo khaana-kharaab aaj bahut yaad aaya

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

More from Dagh Dehlvi

khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya

Dagh Dehlvi

1 likes

ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii

Dagh Dehlvi

1 likes

raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men

Dagh Dehlvi

1 likes

baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya

Dagh Dehlvi

0 likes

sitam hi karna jafaa hi karna nigaah-e-ulft kabhi na karna tumhein qasam hai hamaare sar ki hamaare haq men kamii na karna hamaari mayyat pe tum jo aanaa to chaar aañsu baha ke j aanaa zaraa rahe paas-e-aabroo bhi kahii hamaari hañsi na karna kahaan ka aanaa kahaan ka j aanaa vo jaante hi nahin ye rasmen vahaañ hai wa'de ki bhi ye soorat kabhi to karna kabhi na karna li.e to chalte hain hazrat-e-dil tumhein bhi us anjuman men lekin hamaare pahluu men baith kar tum humeen se pahlu-tahi na karna nahin hai kuchh qatl un ka aasaan ye sakht-jaan hain bure bala ke qaza ko pahle shareek karna ye kaam apni khushi na karna halaak andaaz-e-wasl karna ki parda rah jaa.e kuchh hamaara gham-e-judai men KHaak kar ke kahii adoo ki khushi na karna mirii to hai baat zahar un ko vo un ke matlab hi ki na kyun ho ki un se jo iltijaa se kehna ghazab hai un ko vahii na karna hua agar shauq aaine se to rukh rahe raasti ki jaanib misaal-e-aariz safaai rakhna ba-rang-e-kaakul kajee na karna vo hi hamaara tareeq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna ye ek sheva tira sitamgar ki dost se dosti na karna ham ek rastaa gali ka us ki dikha ke dil ko hue pashemaan ye hazrat-e-khizr ko jata do kisi ki tum rahbari na karna bayaan-e-dard-e-firaq kaisa ki hai vahaañ apni ye haqeeqat jo baat karne to naala karna nahin to vo bhi kabhi na karna madaar hai naaseho tumheen par tamaam ab us ki munsifi ka zaraa to kehna khuda-lagi bhi faqat sukhan-parvari na karna burii hai ai daagh raah-e-ulfat KHuda na le jaa.e aise raaste jo apni tum KHair chahte ho to bhool kar dil-lagi na karna

Dagh Dehlvi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dagh Dehlvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.