ghazalKuch Alfaaz

khafa hona zara si baat par talvar ho jaana magar phir khud-ba-khud vo aap ka gulnar ho jaana kisi din meri rusvai ka ye karan na ban jaae tumhara shahr se jaana mira bimar ho jaana vo apna jism saara saunp dena meri ankhon ko miri padhne ki koshish aap ka akhbar ho jaana kabhi jab andhiyan chalti hain ham ko yaad aata hai hava ka tez chalna aap ka divar ho jaana bahut dushvar hai mere liye us ka tasavvur bhi bahut asan hai us ke liye dushvar ho jaana kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai kahin chalne ki zid karna mira tayyar ho jaana kahani ka ye hissa ab bhi koi khvab lagta hai tira sar par bitha lena mira dastar ho jaana mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikha degi baghhavat par utarna aur khud-mukhtar ho jaana nazar nichi kiye us ka guzarna paas se mere zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana khafa hona zara si baat par talwar ho jaana magar phir khud-ba-khud wo aap ka gulnar ho jaana kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana wo apna jism sara saunp dena meri aankhon ko meri padhne ki koshish aap ka akhbar ho jaana kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai hawa ka tez chalna aap ka diwar ho jaana bahut dushwar hai mere liye us ka tasawwur bhi bahut aasan hai us ke liye dushwar ho jaana kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana kahani ka ye hissa ab bhi koi khwab lagta hai tera sar par bitha lena mera dastar ho jaana mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi baghawat par utarna aur khud-mukhtar ho jaana nazar nichi kiye us ka guzarna pas se mere zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana

Related Ghazal

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Munawwar Rana

chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai

Munawwar Rana

5 likes

aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe

Munawwar Rana

1 likes

mukhtasar hote hue bhi zindagi badh jaayegi maa ki aañkhen choom lijye raushni badh jaayegi maut ka aanaa to tay hai maut aayegi magar aap ke aane se thodii zindagi badh jaayegi itni chaahat se na dekha keejie mehfil men aap shahar waalon se hamaari dushmani badh jaayegi aap ke hansne se khatra aur bhi badh jaayega is tarah to aur aankhoñ ki nami badh jaayegi be-vafaaii khel ka hissa hai jaane de ise tazkira us se na kar sharmindagi badh jaayegi

Munawwar Rana

9 likes

main is se pahle ki bikharoon idhar udhar ho jaaun mujhe sanbhaal le mumkin hai dar-b-dar ho jaaun ye aab-o-taab jo mujh men hai sab usii se hai agar vo chhod de mujh ko to main khandar ho jaaun mirii madad se khujuroon ki fasl pakne lage main chahta hooñ ki sehra ki dopahar ho jaaun main aas-paas ke mausam se hooñ tar-o-taazaa main apne jhund se nikloon to be-samar ho jaaun badi ajeeb si hiddat hai us ki yaadon men agar main choo luun paseene se tar-b-tar ho jaaun main kacchi miTTi ki soorat hooñ tere haathon men mujhe tu dhaal de aise ki mo'tabar ho jaaun bachi-khuchi hui saanson ke saath pahunchaana suno hawao agar main shikasta-par ho jaaun

Munawwar Rana

1 likes

KHafaa hona zaraa si baat par talwaar ho jaana magar phir KHud-ba-KHud vo aap ka gulnaar ho jaana kisi din mirii ruswaai ka ye kaaran na ban jaa.e tumhaara shahar se jaana mira beemaar ho jaana vo apna jism saara saunp dena mirii aankhoñ ko mirii padhne ki koshish aap ka akhbaar ho jaana kabhi jab aandhiyaan chalti hain ham ko yaad aata hai hawa ka tez chalna aap ka deewaar ho jaana bahut dushwaar hai mere li.e us ka tasavvur bhi bahut aasaan hai us ke li.e dushwaar ho jaana kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai kahii chalne ki zid karna mira taiyyaar ho jaana kahaanii ka ye hissa ab bhi koi KHvaab lagta hai tira sar par bitha lena mira dastaar ho jaana mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikha degi baghaavat par utarna aur khud-mukhtaar ho jaana nazar neechi ki.e us ka guzarna paas se mere zaraa si der rukna phir saba-raftaar ho jaana

Munawwar Rana

7 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Munawwar Rana.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.