ghazalKuch Alfaaz

KHoon patton pe jama ho jaise phool ka rang haraa ho jaise baarha ye ha men mehsoos hua dard seene ka KHuda ho jaise yuñ taras kha ke na poochho ahvaal teer seene pe laga ho jaise phool ki aankh men shabnam kyun hai sab hamaari hi KHataa ho jaise kirchen chubhti hain bahut seene men aaina toot gaya ho jaise sab ha men dekhne aate hain magar neend aankhoñ se KHafaa ho jaise ab charaaghon ki zaroorat bhi nahin chaand is dil men chhupa ho jaise

Related Ghazal

barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho

Umair Najmi

59 likes

aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha

Zubair Ali Tabish

48 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

ye vo qabeela hai jo husn ko KHuda maane yahaañ pe kaun teri baat ka bura maane ishaara kar diya hai aapki taraf maine ye bacche pooch rahe the ki be-vafa maane main us badan ki banaavat ko aise dekhta hooñ ki jaise dekh li ho dwaarka sudama ne

Kushal Dauneria

30 likes

baat aisi hai aisa tha pahle dard hone pe rota tha pahle jaise chahe vo khela karta tha main kisi ka khilauna tha pahle tujhpe kitna bharosa karta tha KHud pe kitna bharosa tha pahle aakhiri raaste pe chalne ko pair usne uthaya tha pahle ab to tasveer tak nahin banti main to paikar banata tha pahle raushni aayi jab jala koi sabki aankhoñ pe parda tha pahle ginti peeche se ki gayi varna meraa number to pehla tha pahle

Himanshi babra KATIB

45 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai

Bashir Badr

1 likes

khaandaani rishton men akshar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khoobsurat hai bahut apne college men bahut maghroor jo mashhoor hai dil mira kahtaa hai us ladki men chaahat hai bahut un ke chehre chaand taaron ki tarah raushan rahe jin ghareebon ke yahaañ husn-e-qanaat hai bahut ham se ho sakti nahin duniya ki duniya-daariyaan ishq ki deewaar ke saa.e men raahat hai bahut dhoop ki chadar mire suraj se kehna bhej de gurbaton ka daur hai jaadon ki shiddat hai bahut in andheron men jahaan sahmi hui thii ye zameen raat se tanhaa lada jugnoo men himmat hai bahut

Bashir Badr

2 likes

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

shaam aankhoñ men aankh paani men aur paani sara-e-faani men jhilmilaate hain kashtiyon men diye pul khade so rahe hain paani men KHaak ho jaayegi zameen ik din aasmaanon ki aasmaani men vo hawa hai use kahaan dhundhun aag men KHaak men ki paani men aa pahaadon ki tarah saamne aa in dinon main bhi hooñ ravaani men

Bashir Badr

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.