ghazalKuch Alfaaz

KHud par jab ishq ki vehshat ko musallat karunga is kadar KHaak udaaunga qayamat karunga hijr ki raat meri jaan ko aayi hui hai bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga ab tere raaz sambhaale nahin jaate mujhse main kisi roz amaanat men khayaanat karunga laylaatul qadar guzrenge kisi jungle men noor barsega darakhton ki imaamat karunga

Tehzeeb Hafi22 Likes

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare

Kumar Vishwas

56 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

ik hunar hai jo kar gaya hooñ main sab ke dil se utar gaya hooñ main kaise apni hañsi ko zabt karoon sun raha hooñ ki ghar gaya hooñ main kya bataaun ki mar nahin paata jeete-ji jab se mar gaya hooñ main ab hai bas apna saamna dar-pesh har kisi se guzar gaya hooñ main vahii naaz-o-ada vahii ghamze sar-b-sar aap par gaya hooñ main ajab ilzaam hooñ zamaane ka ki yahaañ sab ke sar gaya hooñ main kabhi KHud tak pahunch nahin paaya jab ki waan umr bhar gaya hooñ main tum se jaanaan mila hooñ jis din se be-tarah KHud se dar gaya hooñ main koo-e-jaanaan men sog barpa hai ki achaanak sudhar gaya hooñ main

Jaun Elia

51 likes

More from Tehzeeb Hafi

ashk zaaeaa ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mire gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ki meraa hum-safar rota na tha main ne us ke vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mire kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi us se tha magar itnaa nahin tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha

Tehzeeb Hafi

48 likes

cheekhte hain dar-o-deewar nahin hota main aankh khulne pe bhi bedaar nahin hota main KHvaab karna ho safar karna ho ya rona ho mujh men khoobi hai bezaar nahin hota men ab bhala apne li.e banna sanwarna kaisa KHud se milnaa ho to taiyyaar nahin hota main kaun aayega bhala meri ayaadat ke li.e bas isee khauf se beemaar nahin hota main manzil-e-ishq pe niklaa to kaha raaste ne har kisi ke li.e hamvaar nahin hota main teri tasveer se taskin nahin hoti mujhe teri awaaz se sarshaar nahin hota main log kahte hain main baarish ki tarah hooñ haafi akshar auqaat lagaataar nahin hota main

Tehzeeb Hafi

35 likes

ik haveli hooñ us ka dar bhi hooñ KHud hi aangan KHud hi shajar bhi hooñ apni masti men bahta dariyaa hooñ main kinaara bhi hooñ bhanwar bhi hooñ aasmaañ aur zameen ki wus'at dekh main idhar bhi hooñ aur udhar bhi hooñ KHud hi main KHud ko likh raha hooñ khat aur main apna nama-bar bhi hooñ dastaan hooñ main ik taveel magar tu jo sun le to mukhtasar bhi hooñ ek faldar ped hooñ lekin vaqt aane pe be-samar bhi hooñ

Tehzeeb Hafi

19 likes

bataa ai abr musawaat kyun nahin karta hamaare gaav men barsaat kyun nahin karta mahaaz-e-ishq se kab kaun bach ke niklaa hai tu bav gaya hai to khairaat kyun nahin karta vo jis ki chaanv men pacchees saal guzre hain vaa ped mujh se koi baat kyun nahin karta main jis ke saath kaii din guzaar aaya hooñ vo mere saath basar raat kyun nahin karta mujhe tu jaan se badh kar aziz ho gaya hai to mere saath koi haath kyun nahin karta

Tehzeeb Hafi

30 likes

aaj jin jheelon ka bas kaaghaz men naksha rah gaya ek muddat tak main un aankhoñ se bahta rah gaya main use na-qaabil-e-bardasht samjha tha magar vo mere dil men raha aur achha KHaasa rah gaya vo jo aadhe the tujhe milkar muqammal ho ga.e jo muqammal tha vo tere gham men aadha rah gaya

Tehzeeb Hafi

61 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.