kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta kahii zameen kahii aasmaañ nahin milta tamaam shahar men aisa nahin khuloos na ho jahaan umeed ho is ki vahaañ nahin milta kahaan charaaghh jalaaen kahaan gulaab rakhen chaten to milti hain lekin makaan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zabaan mili hai magar ham-zabaan nahin milta charaaghhh jalte hi beenaai bujhne lagti hai KHud apne ghar men hi ghar ka nishaan nahin milta
Related Ghazal
ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii
Zubair Ali Tabish
80 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Nida Fazli
din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi
Nida Fazli
0 likes
chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain aane waale bayaaz men apni jaane waalon ke naam likhte hain sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron men jagmagate hain ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain yuñ hi chaltaa hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaañ jin darakhton men phal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain
Nida Fazli
0 likes
jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage
Nida Fazli
1 likes
tu qareeb aa.e to qurbat ka yuñ izhaar karoon aaina saamne rakh kar tira deedaar karoon saamne tere karoon haar ka apni elaan aur akelaa men tiri jeet se inkaar karoon pahle sochun use phir us ki banaaun tasveer aur phir us men hi paida dar-o-deewar karoon mire qabze men na miTTi hai na baadal na hawa phir bhi chaahat hai ki har shaakh samar-baar karoon subh hote hi ubhar aati hai saalim ho kar vahii deewaar jise roz main mismar karoon
Nida Fazli
0 likes
thehre jo kahii aankh tamasha nazar aa.e suraj men dhuaan chaand men sehra nazar aa.e raftaar se taabinda umeedon ke jharoke thehroon to har ik samt andhera nazar aa.e saancho men dhale qahqahe sochi hui baatein har shaKHs ke kaandhon pe janaaza nazar aa.e har raahguzar raasta bhoola hua baalak har haath men miTTi ka khilauna nazar aa.e khoi hain abhii main ke dhundlakon men nigaahen hat jaa.e ye deewaar to duniya nazar aa.e jis se bhi milen jhuk ke milen hañs ke hon ruksat akhlaaq bhi is shahar men pesha nazar aa.e
Nida Fazli
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nida Fazli.
Similar Moods
More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.







