kisi ke chhut jaane ka use kyon ghham nahin hota tira dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhare shahr men lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mire ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon men tujhe khone ka phir ham ko zara bhi ghham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar vo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
Umair Najmi
55 likes
zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge
Tehzeeb Hafi
88 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abdul Mannan Samadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Abdul Mannan Samadi's ghazal.







