kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parvana raat aai to hui hai sahar-e-parvana shama jalte hi yahan hashr ka manzar hoga phir koi pa na sakega khabar-e-parvana bujh gai shama kati raat gai sab mahfil ab akele hi katega safar-e-parvana raat bhar bazm men hangama hi hangama tha sirf khamoshi hai ab nauha-gar-e-parvana saari makhluq tamashe ke liye aai thi kaun tha sikhne vaala hunar-e-parvana asman surkh hai suraj bhi abhi duuba hai abhi raushan na karo rahguzar-e-parvana na sahi jism magar khaak to udti phirti kaash jalte na kabhi bal-o-par-e-parvana shama kya chiiz hai jalti to kahan tak jalti abhi zinda hai dil-e-be-khatar-e-parvana haae vo husn ki jis ka koi mushtaq nahin haae vo shama ki hai be-khabar-e-parvana jis tarah guzregi ye raat guzar jaegi muddaton yaad rahega asar-e-parvana ek hi jast men tai ho gai manzil 'shahzad' kitne aram se guzra safar-e-parvana kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parwana raat aai to hui hai sahar-e-parwana shama jalte hi yahan hashr ka manzar hoga phir koi pa na sakega khabar-e-parwana bujh gai shama kati raat gai sab mahfil ab akele hi katega safar-e-parwana raat bhar bazm mein hangama hi hangama tha sirf khamoshi hai ab nauha-gar-e-parwana sari makhluq tamashe ke liye aai thi kaun tha sikhne wala hunar-e-parwana aasman surkh hai suraj bhi abhi duba hai abhi raushan na karo rahguzar-e-parwana na sahi jism magar khak to udti phirti kash jalte na kabhi baal-o-par-e-parwana shama kya chiz hai jalti to kahan tak jalti abhi zinda hai dil-e-be-khatar-e-parwana hae wo husn ki jis ka koi mushtaq nahin hae wo shama ki hai be-khabar-e-parwana jis tarah guzregi ye raat guzar jaegi muddaton yaad rahega asar-e-parwana ek hi jast mein tai ho gai manzil 'shahzad' kitne aaram se guzra safar-e-parwana
Related Ghazal
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
65 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
aaiine aankh men chubhte the bistar se badan katraata tha ek yaad basar karti thii mujhe main saans nahin le paata tha ek shakhs ke haath men tha sab kuchh meraa khilna bhi murjhaana bhi rota tha to raat ujad jaati hansata tha to din ban jaata tha main rab se raabte men rehta mumkin hai ki us se raabta ho mujhe haath uthaana padte the tab jaakar vo phone uthaata tha mujhe aaj bhi yaad hai bachpan men kabhi us par nazar agar padti mere baste se phool barsate the meri takhti pe dil ban jaata tha ham ek zindaan men jinda the ham ek janjeer men badhe hue ek doosre ko dekh kar ham kabhi hansate the to rona aata tha vo jism nazarandaaz nahin ho paata tha in aankhoñ se mujrim thehrata tha apna kehne ko to ghar thehrata tha
Tehzeeb Hafi
129 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
nahin aata kisi par dil hamaara vahii kashtii vahii saahil hamaara tere dar par karenge naukri ham teri galiyaan hain mustaqbil hamaara kabhi milta tha koi hotelon men kabhi bharta tha koi bill hamaara
Tehzeeb Hafi
83 likes
More from Shahzad Ahmad
charaaghh KHud hi bujhaaya bujha ke chhod diya vo gair tha use apna banaa ke chhod diya hazaar chehre hain maujood aadmi ghaayab ye kis kharaabe men duniya ne la ke chhod diya main apni jaañ men use jazb kis tarah karta use gale se lagaaya laga ke chhod diya main ja chuka hooñ mire vaaste udaas na ho main vo hooñ tu ne jise muskuraa ke chhod diya kisi ne ye na bataaya ki fasla kya hai har ek ne mujhe rastaa dikha ke chhod diya hamaare dil men hai kya jhaank kar na dekh sake KHud apni zaat se parda utha ke chhod diya vo teraa rog bhi hai aur tira ilaaj bhi hai usii ko dhundh jise tang aa ke chhod diya vo anjuman men mila bhi to us ne baat na ki kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhod diya rakhoon kisi se tavakko to kya rakhoon shehzaad KHuda ne bhi to zameen par giraa ke chhod diya
Shahzad Ahmad
5 likes
apni tasveer ko aankhoñ se lagata kya hai ik nazar meri taraf bhi tira jaata kya hai meri ruswaai men vo bhi hain barabar ke shareek mire qisse mire yaaron ko sunaata kya hai paas rah kar bhi na pahchaan sakaa tu mujh ko door se dekh ke ab haath hilaata kya hai zehan ke pardo pe manzil ke hayoole na banaa gaur se dekhta ja raah men aata kya hai zakhm-e-dil jurm nahin tod bhi de mohr-e-sukoot jo tujhe jaante hain un se chhupata kya hai safar-e-shauq men kyun kaanpate hain paanv tire aankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai umr bhar apne garebaan se uljhane waale tu mujhe mire hi saa.e se daraata kya hai chaandni dekh ke chehre ko chhupaane waale dhoop men baith ke ab baal sukhaata kya hai mar ga.e pyaas ke maare to utha abr-e-karam bujh gaii bazm to ab shama' jalata kya hai main tira kuchh bhi nahin hooñ magar itnaa to bataa dekh kar mujh ko tire zehan men aata kya hai teraa ehsaas zaraa sa tiri hasti paayaab to samundar kii tarah shor machaata kya hai tujh men kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja chaai kii pyaali men toofaan uthaata kya hai teri awaaz ka jaadu na chalega un par jaagne waalon ko shehzaad jagaata kya hai
Shahzad Ahmad
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahzad Ahmad.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahzad Ahmad's ghazal.







