ghazalKuch Alfaaz

koi nahin hai dekhne vaala to kya hua teri taraf nahin hai ujaala to kya hua chaaron taraf hawaon men us ki mahak to hai murjha rahi hai saans ki maala to kya hua badle men tujh ko de to ga.e bhook aur pyaas munh se jo tere chheena nivaala to kya hua aankhoñ se pee raha hooñ tire pyaar ki sharaab gar chhut gaya hai haath se pyaala to kya hua dharti ko meri zaat se kuchh to nami mili foota hai mere paanv ka chaala to kya hua saare jahaan ne mujh pe lagaaee hain tohmaten tum ne bhi meraa naam uchhaala to kya hua sar par hai maa ke pyaar ka aanchal pada hua mujh par nahin hai koi dushaala to kya hua manchon pe chutkule hain latife hain aaj-kal manchon pe ne hain pant niraala to kya hua ai zindagi tu paas men baithi hui to hai sheeshe men tujh ko gar nahin dhaala to kya hua aankhoñ ke ghar men aayi nahin raushni kunwar toota hai phir se neend ka taalaa to kya hua

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne men kat rahi hai ki ye udaasi hamaare jismoon se kis khushi men lipt rahi hai ajeeb dukh hai ham us ke hokar bhi us ko choone se dar rahe hain ajeeb dukh hai hamaare hisse ki aag auron men bat rahi hai main us ko har roz bas yahii ek jhooth sunne ko phone karta suno yahaañ koi mas’ala hai tumhaari awaaz kat rahi hai mujh aise pedon ke sookhne aur sabz hone se kya kisi ko ye bel shaayad kisi museebat men hai jo mujh se lipt rahi hai ye vaqt aane pe apni aulaad apne azdaad bech degi jo fauj dushman ko apna saalar girvi rakh kar palat rahi hai so is ta'alluq men jo galat-fahmiyaan theen ab door ho rahi hain ruki hui gaadiyon ke chalne ka vaqt hai dhundh chhat rahi hai

Tehzeeb Hafi

88 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

Tehzeeb Hafi

90 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

More from Kunwar Bechain

saanche men ham ne aur ke dhalne nahin diya dil mom ka tha phir bhi pighalne nahin diya haathon ki ot de ke jala leen hatheliyaan ai shama' tujh ko ham ne machalne nahin diya duniya ne bahut chaaha ki dil jaanwar bane main ne hi us ko jism badlne nahin diya zid ye thii vo jalega tumhaare hi haath seus zid ne ek charaaghh ko jalne nahin diya chehre ko aaj tak bhi teraa intizaar hai ham ne gulaal aur ko malne nahin diya baahar ki thokron se to bach kar nikal ga.e paanv ko apni moch ne chalne nahin diya

Kunwar Bechain

5 likes

is naye maahol men jo bhi jiya beemaar hai jis kisi se bhi naya parichay kiya beemaar hai hans rahi hai kaanch ke kapde pahankar bijliyaan us..ko kya maaloom miTTi ka diya beemaar hai aaj shabdon ki sabha men ek ye hi shor tha surkh hai kyuuñ surkhiyaan jab haashiyaan beemaar hai kaam men aa.e nahin dhaage sui marham davaa aaj bhi jis zaKHm ko hamne siya beemaar hai rog kuchh aise mile hai shahar ki jheelon ko ab inka paani jis kisi ne bhi piya beemaar hai ek bhi ummeed ki chitthi idhar aati nahin ho na ho apne samay ka daakiya beemaar hai kal ghazal men pyaar ke hi kaafiye ka zor tha aaj lekin pyaar ka hi kaafiya beemaar hai

Kunwar Bechain

7 likes

dil pe mushkil hai bahut dil ki kahaanii likhna jaise bahte hue paani pe ho paani likhna koi uljhan hi rahi hogii jo vo bhool gaya mere hisse men koi shaam suhaani likhna aate jaate hue mausam se alag rah ke zaraa ab ke khat men to koi baat puraani likhna kuchh bhi likhne ka hunar tujh ko agar mil jaaye ishq ko ashkon ke dariyaa ki ravaani likhna is ishaare ko vo samjha to magar muddat baa'd apne har khat men use raat-ki-raani likhna

Kunwar Bechain

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kunwar Bechain.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kunwar Bechain's ghazal.