ghazalKuch Alfaaz

koi hasin manzar ankhon se jab ojhal ho jaega mujh ko pagal kahne vaala khud hi pagal ho jaega palkon pe us ki jale bujhenge jugnu jab miri yadon ke kamre men hongi barsaten ghar jangal ho jaega jis din us ki zulfen us ke shanon par khul jaengi us din sharm se paani paani khud badal ho jaega jab bhi vo pakiza daman aa jaega haath mire ankhon ka ye mela paani ganga-jal ho jaega us ki yaden us ki baten us ki vafaen us ka pyaar kis ko khabar thi jiina mushkil ek ik pal ho jaega mat ghabra ai pyase dariya suraj aane vaala hai barf pahadon se pighli to jal hi jal ho jaega koi hasin manzar aankhon se jab ojhal ho jaega mujh ko pagal kahne wala khud hi pagal ho jaega palkon pe us ki jale bujhenge jugnu jab meri yaadon ke kamre mein hongi barsaten ghar jangal ho jaega jis din us ki zulfen us ke shanon par khul jaengi us din sharm se pani pani khud baadal ho jaega jab bhi wo pakiza daman aa jaega hath mere aankhon ka ye mela pani ganga-jal ho jaega us ki yaaden us ki baaten us ki wafaen us ka pyar kis ko khabar thi jina mushkil ek ek pal ho jaega mat ghabra ai pyase dariya suraj aane wala hai barf pahadon se pighli to jal hi jal ho jaega

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main

Umair Najmi

55 likes

More from Tahir Faraz

koi haseen manzar aankhoñ se jab ojhal ho jaayega mujh ko paagal kehne vaala KHud hi paagal ho jaayega palkon pe us ki jale bujhenge jugnoo jab mirii yaadon ke kamre men hongi barsaatein ghar jungle ho jaayega jis din us ki zulfen us ke shaanon par khul jaayengius din sharm se paani paani KHud baadal ho jaayega jab bhi vo paakizaa daaman aa jaayega haath mire aankhoñ ka ye mela paani ganga-jal ho jaayega us ki yaaden us ki baatein us ki wafaayein us ka pyaar kis ko khabar thii jeena mushkil ek ik pal ho jaayega mat ghabra ai pyaase dariyaa suraj aane vaala hai barf pahaadon se pighli to jal hi jal ho jaayega

Tahir Faraz

0 likes

men na kahtaa tha ki shehron men na ja yaar mire sondhi miTTi hi men hoti hai vafaa yaar mire koi toote hue KHvaabon se kahaan milta hai har jagah dard ka bistar na laga yaar mire silsila phir se juda hai to juda rahne de dil ke rishton ko tamasha na banaa yaar mire apni chaahat ke shab-o-roz mukammal kar le ja ye suraj bhi tire naam kiya yaar mire tujh se milta hooñ to rishta koi yaad aata hai silsila mujh se ziyaada na badha yaar mire aisa lagta hai ki kuchh toot raha hai mujh men chhod ke tu mujhe is vaqt na ja yaar mire khush-naseebi se ye sa'at tire haath aayi hai aasmaañ jhukne laga haath badha yaar mire

Tahir Faraz

0 likes

ab ke baras honton se mere tishna-labi bhi khatm hui tujh se milne ki ai dariyaa majboori bhi khatm hui kaisa pyaar kahaan ki ulfat ishq ki baat to jaane do mere li.e ab us ke dil se hamdar dii bhi khatm hui saamne waali building men ab kaam hai bas aaraish ka kal tak jo milti thii ha men vo mazdoori bhi khatm hui jail se waapas aa kar us ne paanchon vaqt namaaz padhi munh bhi band hue sab ke aur badnaami bhi khatm hui jis ki jal-dhaara se bastii waale jeevan paate the rastaa badalte hi nad dii ke vo bastii bhi khatm hui

Tahir Faraz

1 likes

dard KHaamosh raha tootti awaaz rahi mirii har shaam tiri yaad ki hamraaz rahi shahar men jab bhi chale thandi hawa ke jhonke tapte sehra ki tabi'at badi na-saaz rahi aaine toot ga.e aks ki sachchaai par aur sachchaai hamesha ki tarah raaz rahi ik naye mod pe us ne bhi mujhe chhod diya jis ki awaaz men shaamil mirii awaaz rahi sunta rehta hooñ buzurgon se main akshar taahir vo sama'at hi rahi aur na vo awaaz rahi

Tahir Faraz

2 likes

jab mire honton pe meri tishnagi rah jaayegi teri aankhoñ men bhi thodii si nami rah jaayegi sar-fira jhonka hawa ka tod dega shaakh ko phool banne ki tamannaa men kali rah jaayegi khatm ho jaayega jis din bhi tumhaara intizaar ghar ke darwaaze pe dastak cheeKHtii rah jaayegi kya khabar thii aayega ik roz aisa vaqt bhi meri goyaai tira munh dekhti rah jaayegi waqt-e-rukhsat aayega aur khatm hogaa ye safar mire dil ki baat mire dil men hi rah jaayegi

Tahir Faraz

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tahir Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tahir Faraz's ghazal.