ghazalKuch Alfaaz

koi nahin hai aane vaala phir bhi koi aane ko hai aate jaate raat aur din men kuchh to ji bahlane ko hai chalo yahan se apni apni shakhon pe laut aae parinde bhuli-bisri yadon ko phir tanhai dohrane ko hai do darvaze ek haveli aamad rukhsat ek paheli koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai din bhar ka hangama saara shaam dhale phir bistar pyara mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai abadi ka shor-sharaba chhod ke dhundo koi kharaba tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai aate jate raat aur din mein kuchh to ji bahlane ko hai chalo yahan se apni apni shakhon pe laut aae parinde bhuli-bisri yaadon ko phir tanhai dohrane ko hai do darwaze ek haweli aamad rukhsat ek paheli koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai din bhar ka hangama sara sham dhale phir bistar pyara mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai aabaadi ka shor-sharaba chhod ke dhundo koi kharaba tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Nida Fazli

din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir aañkhen zindagi roz to tasveer banaane se rahi is andhere men to thokar hi ujaala degi raat jungle men koi shama' jalane se rahi fasla chaand banaa deta hai har patthar ko door ki raushni nazdeek to aane se rahi shahar men sab ko kahaan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahaañ hansne hansaane se rahi

Nida Fazli

0 likes

girja men mandiron men azaanon men bat gaya hote hi subh aadmi khaanon men bat gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utara jo shahar men to dukano men bat gaya pahle talaasha khet phir dariyaa ki khoj ki baaki ka vaqt gehuun ke daano men bat gaya jab tak tha aasmaan men suraj sabhi ka tha phir yuñ hua vo chand makaanon men bat gaya hain taak men shikaari nishaana hain bastiyaan aalam tamaam chand machaanon men bat gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banii zinda lahu to teer kamaanon men bat gaya

Nida Fazli

1 likes

yuñ lag raha hai jaise koi aas-paas hai vo kaun hai jo hai bhi nahin aur udaas hai mumkin hai likhne waale ko bhi ye khabar na ho qisse men jo nahin hai vahii baat khaas hai maane na maane koi haqeeqat to hai yahii charkha hai jis ke paas usii ki kapaas hai itnaa bhi ban-sanwar ke na niklaa kare koi lagta hai har libaas men vo be-libaas hai chhota badaa hai paani KHud apne hisaab se utni hi har nadi hai yahaañ jitni pyaas hai

Nida Fazli

1 likes

jise dekhte hi khumaari lage use umr saari hamaari lage ujaala sa hai us ke chaaron taraf vo naazuk badan paanv bhari lage vo sasuraal se aayi hai maike use jitna dekho vo pyaari lage haseen sooraten aur bhi hain magar vo sab saikron men hazaari lage chalo is tarah se sajaayein use ye duniya hamaari tumhaari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna deen-daari lage

Nida Fazli

1 likes

kabhi kabhi yuñ bhi ham ne apne jee ko bahlāya hai jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaaya hai ham se poochho izzat waalon ki izzat ka haal kabhi ham ne bhi ik shahar men rah kar thoda naam kamaaya hai us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun aangan men hanste bacchon ko be-kaaran dhamkaaya hai us bastii se chhut kar yuñ to har chehre ko yaad kiya jis se thodii si an-ban thii vo akshar yaad aaya hai koi mila to haath milaaya kahii ga.e to baatein keen ghar se baahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai

Nida Fazli

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nida Fazli.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nida Fazli's ghazal.