ghazalKuch Alfaaz

kuchh ne aañkhen kuchh ne chehra dekha hai sab ne tujh ko thoda thoda dekha hai tum par pyaas ke maani khulne waale nahin tum ne paani pee kar dariyaa dekha hai jin haathon ko choomne aa jaate the log aaj unhin haathon men kaasa dekha hai roti aañkhen ye sun kar KHaamosh hui malbe men ik shaKHs ko zinda dekha hai baba bola meri qismat achchhii haius ne shaayad haath tumhaara dekha hai lagta hai main pyaas se marne vaala hooñ main ne kal shab KHvaab men sehra dekha hai andhi duniya ko main kaise samjhaaoon in aankhoñ se main ne kya kya dekha hai qaai dii raat ko bhaagne vaala hai taabishus ne KHvaab men kufiya rastaa dekha hai

Related Ghazal

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

More from Tousief Tabish

main us se baat karne ja chuka tha magar vo shaKHs aage ja chuka tha mujhe dariyaa ne phir u uupar bulaayaa main us ki had se neeche ja chuka tha tire naqsh-e-qadam par chalte chalte main tujh se kitna aage ja chuka tha padhaai khatm karke jab main lautaa koi afsar use le ja chuka tha vo chalne ko to raazi ho gaii thii magar jab main akelaa ja chuka tha sadaaein de raha tha vo palat kar magar main apne raaste ja chuka tha main KHud ko rok bhi saka tha taabish ki meraa vaqt peeche ja chuka tha

Tousief Tabish

6 likes

be-qaraari si be-qaraari hai ab yahii zindagi hamaari hai main ne us ko pichaadna hai miyaan meri saa.e se jang jaarii hai ishq karna bhi laazmi hai magar mujh pe ghar ki bhi zimmedaari hai pyaar hai mujh ko zindagi se bahut aur tu zindagi se pyaari hai main kabhi KHud ko chhodta hi nahin meri KHud se alag si yaari hai shahar ka shahar so gaya taabish ab mire jaagne ki baari hai

Tousief Tabish

6 likes

aaine ke roo-b-roo ik aaina rakhta hooñ main raat-din hairat men KHud ko mubtala rakhta hooñ main doston waali bhi ik khoobi hai un men is li.e dushmanon se bhi musalsal raabta rakhta hooñ main roz-o-shab main ghoomta hooñ vaqt ki pur-kaar par apne chaaron samt koi dayra rakhta hooñ main khatkhatane ki bhi zahmat koi aaKHir kyun kare is li.e bhi ghar ka darwaaza khula rakhta hooñ main aaj-kal KHud se bhi hai ranjish ka koi silsila aaj-kal KHud se bhi thoda fasla rakhta hooñ main chand yaaden ek chehra ek KHvaahish ek KHvaab apne dil men aur kya un ke siva rakhta hooñ main chand tasveerein kitaaben khushbuen aur ek phool apni almaari men taabish aur kya rakhta hooñ main

Tousief Tabish

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tousief Tabish.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tousief Tabish's ghazal.