ghazalKuch Alfaaz

kuchh din to baso miri ankhon men phir khvab agar ho jaao to kya koi rang to do mire chehre ko phir zakhm agar mahkao to kya jab ham hi na mahke phir sahab tum bad-e-saba kahlao to kya ik aaina tha so tuut gaya ab khud se agar sharmao to kya tum aas bandhane vaale the ab tum bhi hamen thukrao to kya duniya bhi vahi aur tum bhi vahi phir tum se aas lagao to kya main tanha tha main tanha huun tum aao to kya na aao to kya jab dekhne vaala koi nahin bujh jaao to kya gahnao to kya ab vahm hai ye duniya is men kuchh khoo to kya aur paao to kya hai yuun bhi ziyan aur yuun bhi ziyan ji jaao to kya mar jaao to kya kuchh din to baso meri aankhon mein phir khwab agar ho jao to kya koi rang to do mere chehre ko phir zakhm agar mahkao to kya jab hum hi na mahke phir sahab tum baad-e-saba kahlao to kya ek aaina tha so tut gaya ab khud se agar sharmao to kya tum aas bandhane wale the ab tum bhi hamein thukrao to kya duniya bhi wahi aur tum bhi wahi phir tum se aas lagao to kya main tanha tha main tanha hun tum aao to kya na aao to kya jab dekhne wala koi nahin bujh jao to kya gahnao to kya ab wahm hai ye duniya is mein kuchh khoo to kya aur pao to kya hai yun bhi ziyan aur yun bhi ziyan ji jao to kya mar jao to kya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Obaidullah Aleem

hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte

Obaidullah Aleem

1 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

jo us ne kiya use sila de maula mujhe sabr ki jazaa de ya mere diye ki lau badha de ya raat ko subh se mila de sach hooñ to mujhe amar banaa de jhoota hooñ to naqsh sab mita de ye qaum ajeeb ho gaii hai is qaum ko khoo-e-ambiya de utarega na koi aasmaañ se ik aas men dil magar sadaa de bacchon ki tarah ye lafz mere maabood inhen bolna sikha de dukh dehr ke apne naam likkhoon har dukh mujhe zaat ka mazaa de ik miraa vujood sun raha hai ilhaam jo raat ki hawa de mujh se miraa koi milne vaala bichhda to nahin magar mila de chehra mujhe apna dekhne ko ab dast-e-hawas men aaina de jis shaKHs ne umr-e-hijr kaateeus shaKHs ko ek raat kya de dukhta hai badan ki phir mile vo mil jaa.e to rooh ko dikha de kya cheez hai khwahish-e-badan bhi har baar naya hi zaaika de choone men ye dar ki mar na jaaun choo luun to vo zindagi siva de

Obaidullah Aleem

1 likes

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

tere pyaar men rusva ho kar jaayen kahaan deewane log jaane kya kya pooch rahe hain ye jaane-pahchaane log har lamha ehsaas ki sahaba rooh men dhalti jaati hai zeest ka nashsha kuchh kam ho to ho aayen may-khaane log jaise tumhein ham ne chaaha hai kaun bhala yuñ chahega maana aur bahut aayenge tum se pyaar jataane log yuñ galiyon bazaaron men aawaara firte rahte hain jaise is duniya men sabhi aa.e hon umr ganwaane log aage peeche daayen baayen s aa.e se lehraate hain duniya bhi to dast-e-bala hai ham hi nahin deewane log kaise dukhon ke mausam aa.e kaisi aag lagii yaaro ab seharaaon se laate hain phoolon ke nazaane log kal maatam be-qeemat hogaa aaj un ki tauqeer karo dekho khoon-e-jigar se kya kya likhte hain afsaane log

Obaidullah Aleem

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.