kya karoge bachav suraj ka jante ho subhav suraj ka garm hai vo to kam nahin ham bhi kaun sahta hai taao suraj ka mere ghar ka charaghh bujhte hi chadh gaya kitna bhaav suraj ka surmai shaam aae kamre men ab to parda hatao suraj ka raat se jang kar ke aaya hai taaza taaza hai ghaav suraj ka milne jaata hai raat se chhup kar ik fasana banao suraj ka asmanon se dosti kar ke badh gaya hai tanav suraj ka ho gai shaam sochte kya ho ab janaza uthao suraj ka raat bhar munh chhupae phirta raha kam nahin phir bhi taao suraj ka roz dariya kinare baith ke ham jodte hain ghatao suraj ka jugnuon se muqabla tha 'fahim' kaun karta bachao suraj ka kya karoge bachaw suraj ka jaante ho subhaw suraj ka garm hai wo to kam nahin hum bhi kaun sahta hai tao suraj ka mere ghar ka charagh bujhte hi chadh gaya kitna bhaw suraj ka surmai sham aae kamre mein ab to parda hatao suraj ka raat se jang kar ke aaya hai taza taza hai ghaw suraj ka milne jata hai raat se chhup kar ek fasana banao suraj ka aasmanon se dosti kar ke badh gaya hai tanaw suraj ka ho gai sham sochte kya ho ab janaza uthao suraj ka raat bhar munh chhupae phirta raha kam nahin phir bhi tao suraj ka roz dariya kinare baith ke hum jodte hain ghatao suraj ka jugnuon se muqabla tha 'fahim' kaun karta bachao suraj ka
Related Ghazal
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
More from Faheem Jogapuri
kya koi tasveer ban sakti hai soorat ke baghair phir kisi se kyun mile koi zaroorat ke baghair dushmani to chaahne ki intiha ka naam hai ye kahaanii bhi adhuri hai mohabbat ke baghair teri yaaden ho gaiin jaise muqaddas aayatein chain aata hi nahin dil ko tilaavat ke baghair dhoop ki har saans ginte shaam tak jo aa ga.e chaanv men vo kya jiein jeene ki aadat ke baghair bach gaya daaman agar mere lahu ke daagh se vo mira qaateel to mar jaayega shohrat ke baghair us ki sardaari se ab inkaar karna chahiye raushni deta nahin suraj siyaasat ke baghair husn ki dookaan ho ki ishq ka bazaar ho yaa koi sauda nahin hai dil ki daulat ke baghair shabnami chehra chhupaau kaise bacchon se faheem shaam aati hi nahin ghar men tahaarat ke baghair
Faheem Jogapuri
0 likes
apne qadam ki chaap se yuñ dar rahe hain ham maqtal ki samt jaise safar kar rahe hain ham kya chaand aur taaron ko ham jaante nahin ai aasmaan waalo zameen par rahe hain ham mushkil tha sathe-aab se ham ko khangaalnaa baahar nahin the jitna ki andar rahe hain ham kal aur koi vaqt ki aankhoñ men ho to kya ab tak to har nigaah ka mehwar rahe hain ham dair-o-haram se aur bhi aage nikal ga.e haan aql ki hudoos se baahar rahe hain ham ai hum-safar na pooch masafat naseeb se tu jaanta hai kitne dinon ghar rahe hain ham baahar na aa.e ham bhi ana ke hisaar se is jang men tumhaare barabar rahe hain ham jharnon ki kya bisaat karen guftugoo faheem dariyaa gire jahaan vo samundar rahe hain ham
Faheem Jogapuri
0 likes
shaam KHaamosh hai pedon pe ujaala kam hai laut aa.e hain sabhi ek parinda kam hai dekh kar sookh gaya kaise badan ka paani main na kahtaa tha mirii pyaas se dariyaa kam hai KHud se milne ki kabhi gaav men furqat na mili shahar aa.e hain yahaañ milna-milaana kam hai aaj kyun aankhoñ men pahle se nahin hain aañsu aaj kya baat hai kyun mauj men dariyaa kam hai apne mehmaan ko palkon pe bitha letii hai muflisi jaanti hai ghar main bichhauna kam hai bas yahii soch ke karne lage hijrat aañsu apni laashon ke muqaabil yahaañ kaandha kam hai dil ki har baat zabaan par nahin aati hai faheem main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai
Faheem Jogapuri
0 likes
dosti men na dushmani men ham kya nazar aayenge kisi men ham kyun sajaate hain KHvaab sadiyon ke chand lamhon ki zindagi men ham sair karte hain dono aalam ki apne KHvaabon ki paalki men ham jab tumhaara khayal aata hai doob jaate hain raushni men ham koi awaaz kyun nahin deta dagmagate hain teergii men ham pyaas ham ko kahii sataati hai tairte hain kahii nadi men ham raat hoti to koi baat na thii loot ga.e din ki raushni men ham apne maazi se baat karte hain teri yaadon ki chaandni men ham
Faheem Jogapuri
1 likes
aanaa tha jise aaj vo aaya to nahin hai ye vaqt badlne ka ishaara to nahin hai daawat de k abhii kyun vo mohabbat se bul aa.e dariyaa se mirii pyaas ka rishta to nahin hai ye kaun gaya hai ki jhapakti nahin aañkhen raaste men vo thehra hua lamha to nahin hai hansta hua chehra hai damkata hua paikar guzra hua ye meraa zam aanaa to nahin hai aankhoñ ne abhii neend ka daaman nahin chhodaa KHvaabon se bharosa abhii toota to nahin hai dariyaa men sar-e-shaam hai dooba hua suraj din-bhar ka musaafir koi pyaasa to nahin hai chhod aa.e ho jis ke li.e aanchal ki ghani chaanv is shahar men vo dhoop ka tukda to nahin hai raaste men faheem us ki tabi'at ka bigadna ghar jaane ka ik aur bah aanaa to nahin hai
Faheem Jogapuri
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faheem Jogapuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Faheem Jogapuri's ghazal.







