ghazalKuch Alfaaz

mahaaz-e-jang se pahle kahii padaav banaao nadi pe baandh banaane se pahle naav banaao ye raat sirf andheri nahin hai sard bhi hai diya banaa liya shaabaash ab alaav banaao banaana jaante ho tum to sab ke dil men jagah hamaare dil men banaa kar dikhaao aao banaao kitaab faad ke bhi naav hi banaani hai to seedhe ped ko kaato sukhaao naav banaao ye sang-e-marmari nakhun ye katthai polish ki koi dekhe to kah de hamaare ghaav banaao banaao taajmahal ke bajaaye taash mahal tamaam umr muhabbat karo girao banaao tumhaari achchhii banegi hamaare saath ki tum bahaane achchhe banaa lete ho banaao banaao

Related Ghazal

yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara

Kushal Dauneria

67 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

bas ik nigaah-e-naaz ko tarsa hua tha main haalanki shahar-shahar men faila hua tha main muddat ke baad aaina dekha to ro pada kis behtareen dost se rootha hua tha main pahna jo renkot to baarish nahin hui lautaa jo ghar to sharm se bheega hua tha main pahle bhi dii gaii thii mujhe bazm ki dua pahle bhi is dua pe akela hua tha main kitnii ajeeb baat hai na tu hi aa gaya tere hi intzaar men baitha hua tha main

Zubair Ali Tabish

47 likes

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge

Khalil Ur Rehman Qamar

50 likes

More from Charagh Sharma

mirii udaasi mire darmiyaan band karo koi saleeqe se ye itr-daan band karo padha raha hooñ main bacchon ko karbala ka nisaab tum apni tishna-labi ka bakhaan band karo zaraa samajhne ki koshish karo mire ashko vo aaj KHush hai tum apni zabaan band karo main ek shart pe raazi hooñ qaid hone ko isee qafas men miraa aasmaan band karo mujhe akelaa men karne hain KHud se kuchh baatein ye miraa hukm hai deewaaro kaan band karo ghazal men laane se gham aur badh gaya hai charaaghh shatar girao sukhun ki dukaan band karo

Charagh Sharma

4 likes

ab ye gul gulnaar kab hai khaar hai be-kaar hai aap ne jab kah diya be-kaar hai be-kaar hai chhod kar matla ghazal damdaar hai be-kaar hai jab sipah-salaar hi beemaar hai be-kaar hai ik sawaal aisa hai mere paas jis ke saamne ye jo teri shiddat-e-inkaar hai be-kaar hai tujh ko bhi hai chaand ka deedaar karne ki talab ik diye ko raushni darkaar hai be-kaar hai may-kade ke mukhtalif aadaab hote hain charaaghh jo yahaañ par saahib-e-kirdaar hai be-kaar hai

Charagh Sharma

2 likes

abke mili shikast meri or se mujhe jitwa diya gaya kisi kamzor se mujhe alfaaz dhonay waali ik awaaz tha main bas phir usne sunke she'r kiya shor se mujhe tujhko na pake KHush hooñ ki khone ka dar nahin ghurbat bacha rahi hai har ik chor se mujhe jo shaakh par hain tere guzarne ke baawajood vo phool chubh rahe hain bahut zor se mujhe main chahta tha aur kuchh ooncha ho aasmaan qudrat ne pankh saunp diye mor se mujhe maine qubool kar liya chupchaap vo gulaab jo shaakh de rahi thii teri or se mujhe halke se usne poocha kise doon main apna dil main man hi man men cheekha bahut zor se mujhe

Charagh Sharma

21 likes

ai phool bechne waale tujhe gumaan bhi hai ki tere shahar men tezaab ki dukaan bhi hai hamaare dil men kabhi paanv ke nishaan banaa ki is sadak ki taraf teer ka nishaan bhi hai ye aasmaan agar saayebaan hai teraa to bhool mat ki kisi ka ye paaydaan bhi hai jab aaj usne bataaya to mujh...ko yaad aaya yahii ki uski gali men meraa makaan bhi hai

Charagh Sharma

10 likes

pukaarta hooñ main al-amaan al-amaan allah bacha le mere yaqeenullaah ki jaan allah vo jin ko tu ne ata kiya hai jahaan allah banaa rahe hain tire li.e hi makaan allah vo yaad aata hai sirf yaaron ke poochne par tu yaad aata hai sirf waqt-e-azaan allah tire taghaaful ki hi badaulat hooñ aaj jo hooñ mujhe koi janm-zaat kaafir na jaan allah main jab vo jannat bhi chhod aaya to duniya kya hai le main chala tu sanbhaal apna jahaan allah

Charagh Sharma

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Charagh Sharma.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Charagh Sharma's ghazal.