ab ye gul gulnaar kab hai khaar hai be-kaar hai aap ne jab kah diya be-kaar hai be-kaar hai chhod kar matla ghazal damdaar hai be-kaar hai jab sipah-salaar hi beemaar hai be-kaar hai ik sawaal aisa hai mere paas jis ke saamne ye jo teri shiddat-e-inkaar hai be-kaar hai tujh ko bhi hai chaand ka deedaar karne ki talab ik diye ko raushni darkaar hai be-kaar hai may-kade ke mukhtalif aadaab hote hain charaaghh jo yahaañ par saahib-e-kirdaar hai be-kaar hai
Related Ghazal
ye pyaar teri bhool hai qubool hai main sang hooñ tu phool hai qubool hai dagaa bhi dooñga pyaar men kabhi kabhi ki ye miraa usool hai qubool hai tujhe jahaan azeez hai to chhod ja mujhe ye shay fuzool hai qubool hai tu roothegi to main manaaunga nahin jo rule hai vo rule hai qubool hai lipt ai shaakhe gul magar ye soch kar miraa badan babool hai qubool hai yahii hai gar tiri raza to bol phir qubool hai qubool hai qubool hai
Varun Anand
42 likes
agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna
Anand Raj Singh
54 likes
aankhoñ men raha dil men utar kar nahin dekha kashtii ke musaafir ne samundar nahin dekha be-waqt agar jaaunga sab chaunk padenge ik umr hui din men kabhi ghar nahin dekha jis din se chala hooñ mirii manzil pe nazar hai aankhoñ ne kabhi meel ka patthar nahin dekha ye phool mujhe koi viraasat men mile hain tum ne mira kaanton bhara bistar nahin dekha yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine phoolon men chhupaaya hua khanjar nahin dekha mahboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenen jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha khat aisa likha hai ki nageene se jade hain vo haath ki jis ne koi zevar nahin dekha patthar mujhe kahtaa hai mira chaahne vaala main mom hooñ us ne mujhe choo kar nahin dekha
Bashir Badr
38 likes
kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta kahii zameen kahii aasmaañ nahin milta tamaam shahar men aisa nahin khuloos na ho jahaan umeed ho is ki vahaañ nahin milta kahaan charaaghh jalaaen kahaan gulaab rakhen chaten to milti hain lekin makaan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zabaan mili hai magar ham-zabaan nahin milta charaaghhh jalte hi beenaai bujhne lagti hai KHud apne ghar men hi ghar ka nishaan nahin milta
Nida Fazli
37 likes
chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha
Kushal Dauneria
54 likes
More from Charagh Sharma
abke mili shikast meri or se mujhe jitwa diya gaya kisi kamzor se mujhe alfaaz dhonay waali ik awaaz tha main bas phir usne sunke she'r kiya shor se mujhe tujhko na pake KHush hooñ ki khone ka dar nahin ghurbat bacha rahi hai har ik chor se mujhe jo shaakh par hain tere guzarne ke baawajood vo phool chubh rahe hain bahut zor se mujhe main chahta tha aur kuchh ooncha ho aasmaan qudrat ne pankh saunp diye mor se mujhe maine qubool kar liya chupchaap vo gulaab jo shaakh de rahi thii teri or se mujhe halke se usne poocha kise doon main apna dil main man hi man men cheekha bahut zor se mujhe
Charagh Sharma
21 likes
pukaarta hooñ main al-amaan al-amaan allah bacha le mere yaqeenullaah ki jaan allah vo jin ko tu ne ata kiya hai jahaan allah banaa rahe hain tire li.e hi makaan allah vo yaad aata hai sirf yaaron ke poochne par tu yaad aata hai sirf waqt-e-azaan allah tire taghaaful ki hi badaulat hooñ aaj jo hooñ mujhe koi janm-zaat kaafir na jaan allah main jab vo jannat bhi chhod aaya to duniya kya hai le main chala tu sanbhaal apna jahaan allah
Charagh Sharma
6 likes
thak jaata hooñ roz ke aane jaane men meraa bistar lagwa do may-KHaane men uske haath men phool hai mat kahiye kahiye uskaa haath hai phool ko phool banaane men main kabse mauqe ki taak men hooñ us..ko jaane man kah doon jaane anjaane men aankhoñ men mat rok mujhe jaana hai udhar ye rastaa khulta hai jis tahkhane men
Charagh Sharma
19 likes
jang jitni ho sake dushwaar honi chahiye jeet haasil ho to laziz-daar honi chahiye ek 'aashiq kal salaamat shahar men dekha gaya ye khabar to surkhi-e-akhbaar honi chahiye kah rahi hai aaj-kal ghazlein kisi ke ishq men vo ki jo KHud zeenat-e-ash'aar honi chahiye ishq dono ne kiya tha KHud-kushi bas main karoon vo bhi marne ke li.e taiyyaar honi chahiye dil ki nadaani hi bas kaafi nahin hai ishq men aql bhi thodii bahut beemaar honi chahiye pyaar hai to haath us ka thaam apne haath men jang hai to haath men talwaar honi chahiye
Charagh Sharma
6 likes
mirii udaasi mire darmiyaan band karo koi saleeqe se ye itr-daan band karo padha raha hooñ main bacchon ko karbala ka nisaab tum apni tishna-labi ka bakhaan band karo zaraa samajhne ki koshish karo mire ashko vo aaj KHush hai tum apni zabaan band karo main ek shart pe raazi hooñ qaid hone ko isee qafas men miraa aasmaan band karo mujhe akelaa men karne hain KHud se kuchh baatein ye miraa hukm hai deewaaro kaan band karo ghazal men laane se gham aur badh gaya hai charaaghh shatar girao sukhun ki dukaan band karo
Charagh Sharma
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Charagh Sharma.
Similar Moods
More moods that pair well with Charagh Sharma's ghazal.







