jang jitni ho sake dushwaar honi chahiye jeet haasil ho to laziz-daar honi chahiye ek 'aashiq kal salaamat shahar men dekha gaya ye khabar to surkhi-e-akhbaar honi chahiye kah rahi hai aaj-kal ghazlein kisi ke ishq men vo ki jo KHud zeenat-e-ash'aar honi chahiye ishq dono ne kiya tha KHud-kushi bas main karoon vo bhi marne ke li.e taiyyaar honi chahiye dil ki nadaani hi bas kaafi nahin hai ishq men aql bhi thodii bahut beemaar honi chahiye pyaar hai to haath us ka thaam apne haath men jang hai to haath men talwaar honi chahiye
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
sirf khanjar hi nahin aankhoñ men paani chahiye ai KHuda dushman bhi mujh ko khaandaani chahiye shahar ki saari alif-lailaaein boodhi ho chuki shahzaade ko koi taaza kahaanii chahiye main ne ai suraj tujhe pooja nahin samjha to hai mere hisse men bhi thodii dhoop aani chahiye meri qeemat kaun de saka hai is bazaar men tum zulekha ho tumhein qeemat lagaani chahiye zindagi hai ik safar aur zindagi ki raah men zindagi bhi aa.e to thokar lagaani chahiye main ne apni khushk aankhoñ se lahu chhalaka diya ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye
Rahat Indori
38 likes
dil jab khaali ho jaata hai aur bhi bhari ho jaata hai jab tu saaqi ho jaata hai ishq sharaabi ho jaata hai main jab tak kuchh tay karta hoon sab kuchh maazi ho jaata hai uske chhoote hi qismat ka taalaa chaabhi ho jaata hai pahle tu kaafi hota tha ab naakaafi ho jaata hai
Fahmi Badayuni
29 likes
aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha
Zubair Ali Tabish
48 likes
More from Charagh Sharma
ab ye gul gulnaar kab hai khaar hai be-kaar hai aap ne jab kah diya be-kaar hai be-kaar hai chhod kar matla ghazal damdaar hai be-kaar hai jab sipah-salaar hi beemaar hai be-kaar hai ik sawaal aisa hai mere paas jis ke saamne ye jo teri shiddat-e-inkaar hai be-kaar hai tujh ko bhi hai chaand ka deedaar karne ki talab ik diye ko raushni darkaar hai be-kaar hai may-kade ke mukhtalif aadaab hote hain charaaghh jo yahaañ par saahib-e-kirdaar hai be-kaar hai
Charagh Sharma
2 likes
mirii udaasi mire darmiyaan band karo koi saleeqe se ye itr-daan band karo padha raha hooñ main bacchon ko karbala ka nisaab tum apni tishna-labi ka bakhaan band karo zaraa samajhne ki koshish karo mire ashko vo aaj KHush hai tum apni zabaan band karo main ek shart pe raazi hooñ qaid hone ko isee qafas men miraa aasmaan band karo mujhe akelaa men karne hain KHud se kuchh baatein ye miraa hukm hai deewaaro kaan band karo ghazal men laane se gham aur badh gaya hai charaaghh shatar girao sukhun ki dukaan band karo
Charagh Sharma
4 likes
thak jaata hooñ roz ke aane jaane men meraa bistar lagwa do may-KHaane men uske haath men phool hai mat kahiye kahiye uskaa haath hai phool ko phool banaane men main kabse mauqe ki taak men hooñ us..ko jaane man kah doon jaane anjaane men aankhoñ men mat rok mujhe jaana hai udhar ye rastaa khulta hai jis tahkhane men
Charagh Sharma
19 likes
kisi ko class se baahar nikaal rakha hai kisi ne seat pe rumal daal rakha hai kisi ne kamre men barbaad kar liya KHud ko kisi ne jang men apna khayal rakha hai hakeem-e-sheher ke bacchon ko paalne ke li.e har aadmi ne koi rog paal rakha hai wahaan vo chidiya bhi KHush hai ye soch kar sayyaad ki usne duniya ko pinjare men daal rakha hai ghazal hi ishq ka maidaan hai to aage badho yahaañ ka morcha hamne sanbhaal rakha hai
Charagh Sharma
17 likes
main rozgaar-e-muhabbat men kam pagaar pe tha aur itni kam ki ghazal ka guzar udhaar pe tha hamaara ishq bhi yaaraane ki kagaar pe tha jab usne pyaar kaha tha to zor yaar pe tha kise khabar thii ki darwaaza bhi khula hua hai sabhi ka dhyaan to deewaar ki daraar pe tha mujhe KHareedne do teen log aa.e the aur un men se bhi meraa qarz teen-chaar pe tha main jis gulaab ki khaatir tha khaar ki zad men use bhi mujhpe bharosa nahin tha khaar pe tha bataa raha tha andhera bahut hai duniya men vo ik charaaghh jo mansoor ke mazaar pe tha hua tha qatl kal uske kisi deewane ka KHuda ka shukr ki ilzaam khaaksaar pe tha
Charagh Sharma
11 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Charagh Sharma.
Similar Moods
More moods that pair well with Charagh Sharma's ghazal.







