mai-kada tha chandni thi main na tha ik mujassam be-khudi thi main na tha ishq jab dam todta tha tum na the maut jab sar dhun rahi thi main na tha tuur par chheda tha jis ne aap ko vo miri divangi thi main na tha vo hasin baitha tha jab mere qarib lazzat-e-ham-saegi thi main na tha mai-kade ke mod par rukti hui muddaton ki tishnagi thi main na tha thi haqiqat kuchh miri to is qadar us hasin ki dil-lagi thi main na tha main aur us ghhuncha-dahan ki aarzu aarzu ki sadgi thi main na tha jis ne mah-paron ke dil pighla diye vo to meri shaeri thi main na tha gesuon ke saae men aram-kash sar-barahna zindagi thi main na tha dair o kaaba men 'adam' hairat-farosh do-jahan ki bad-zani thi main na tha mai-kada tha chandni thi main na tha ek mujassam be-khudi thi main na tha ishq jab dam todta tha tum na the maut jab sar dhun rahi thi main na tha tur par chheda tha jis ne aap ko wo meri diwangi thi main na tha wo hasin baitha tha jab mere qarib lazzat-e-ham-saegi thi main na tha mai-kade ke mod par rukti hui muddaton ki tishnagi thi main na tha thi haqiqat kuchh meri to is qadar us hasin ki dil-lagi thi main na tha main aur us ghuncha-dahan ki aarzu aarzu ki sadgi thi main na tha jis ne mah-paron ke dil pighla diye wo to meri shaeri thi main na tha gesuon ke sae mein aaram-kash sar-barahna zindagi thi main na tha dair o kaba mein 'adam' hairat-farosh do-jahan ki bad-zani thi main na tha
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
More from Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskuraate hain zeest ke ranj bhool jaate hain kyun shikan daalte ho maathe par bhool kar aa ga.e hain jaate hain kashtiyaañ yuñ bhi doob jaati hain nakhuda kis li.e daraate hain ik haseen aankh ke ishaare par qafile raah bhool jaate hain
Abdul Hamid Adam
5 likes
hañs hañs ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya vo KHud pila rahe the main lahara ke pee gaya tauba ke tootne ka bhi kuchh kuchh malaal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pee gaya saaghar-b-dast baithi rahi meri aarzoo saaqi shafaq se jaam ko takra ke pee gaya vo dushmanon ke tanj ko thukra ke pee ga.e main doston ke ghaiz ko bharka ke pee gaya sadhaa mutaalibaat ke baa'd ek jaam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pee gaya sau baar lagzishon ki qasam kha ke chhod dii sau baar chhodne ki qasam kha ke pee gaya peeta kahaan tha subh-e-azl main bhala adam saaqi ke e'tibaar pe lahara ke pee gaya
Abdul Hamid Adam
6 likes
hañs ke bola karo bulaayaa karo aap ka ghar hai aaya jaaya karo muskuraahat hai husn ka zevar muskurana na bhool jaaya karo had se badh kar haseen lagte ho jhooti qasmen zaroor khaaya karo taaki duniya ki dilkashi na ghate nit-naye pairhan men aaya karo kitne saada-mizaaj ho tum adamus gali men bahut na jaaya karo
Abdul Hamid Adam
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.
Similar Moods
More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.







