main vo darakht huun khata hai jo bhi phal mere zarur mujh se ye kahta hai saath chal mere ye kainat tasarruf men thi rahe jab tak nazar buland miri faisle atal mere mujhe na dekh miri baat sun ki mujh se hain kahin kahin mutasadim bhi kuchh 'amal mere bacha hi kya huun main avaz rah gaya huun faqat chura ke rang to sab le gai ghhazal mere ye tab ki baat hai jab tum se rabta bhi na tha abhi hue na the ash'ar mubtazal mere ye khauf mujh ko udata hai vaqt ke manind ki baithne se na ho jaaen paanv shal mere vo din the aur na jaane vo kaun se din the tire baghhair guzarte nahin the pal mere kabhi milega kahin shahr-e-khvab se bahar agar nahin to khayalon se bhi nikal mere main kis tarah ka huun ye tu bata nahin sakta magar ye tai hai ki hain yaar be-badal mere jala huun hijr ke sho'lon men bar-ha ajmal magar main 'ishq huun jaate nahin hain bal mere main wo darakht hun khata hai jo bhi phal mere zarur mujh se ye kahta hai sath chal mere ye kainat tasarruf mein thi rahe jab tak nazar buland meri faisle atal mere mujhe na dekh meri baat sun ki mujh se hain kahin kahin mutasadim bhi kuchh 'amal mere bacha hi kya hun main aawaz rah gaya hun faqat chura ke rang to sab le gai ghazal mere ye tab ki baat hai jab tum se rabta bhi na tha abhi hue na the ash'ar mubtazal mere ye khauf mujh ko udata hai waqt ke manind ki baithne se na ho jaen panw shal mere wo din the aur na jaane wo kaun se din the tere baghair guzarte nahin the pal mere kabhi milega kahin shahr-e-khwab se bahar agar nahin to khayalon se bhi nikal mere main kis tarah ka hun ye tu bata nahin sakta magar ye tai hai ki hain yar be-badal mere jala hun hijr ke sho'lon mein bar-ha ajmal magar main 'ishq hun jate nahin hain bal mere
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Ajmal Siraj
deewaar yaad aa gaii dar yaad aa gaya do gaam hi chale the ki ghar yaad aa gaya kuchh kehna chahte the ki KHaamosh ho ga.e dastaar yaad aa gaii sar yaad aa gaya duniya ki be-rukhi ka gilaa kar rahe the log ham ko tira tapaak magar yaad aa gaya phir teergi-e-raahguzar yaad aa gaii phir vo charaagh-e-raahguzar yaad aa gaya ajmal'-siraj ham use bhool hue to hain kya jaane kya karenge agar yaad aa gaya
Ajmal Siraj
2 likes
tere siva kisi ki tamannaa karunga main aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main go gham aziz hai mujhe tere firaq ka phir bhi is imtihaan ka shikwa karunga main aankhoñ ko ashk o khun bhi faraham karunga main dil ke li.e bhi dard muhayya karunga main raahat bhi ranj ranj bhi raahat ho jab to phir kya etibaar-e-khwaahish-e-duniya karunga main rakha hai kya jahaan men ye aur baat hai ye aur baat hai ki taqaza karunga main ye raahguzaar ki jaa-e-qayaam-o-qaraar thii yaanii ab us gali se bhi guzra karunga main yaanii kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho is ehtiyaat se tujhe dekha karunga main hai dekhne ki cheez to ye iltifaat bhi dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main hairaan o dil-shikasta hooñ is haal-e-zaar par kab jaanta tha apna tamasha karunga main haan kheench loonga vaqt ki zanjeer paanv se ab ke bahaar aayi to aisa karunga main
Ajmal Siraj
1 likes
bujh gaya raat vo sitaara bhi haal achha nahin hamaara bhi ye jo ham khoye khoye rahte hain is men kuchh dakhl hai tumhaara bhi doobna zaat ke samundar men hai ye toofaan bhi kinaara bhi ab mujhe neend hi nahin aati KHvaab hai KHvaab ka sahaara bhi log jeete hain kis tarah ajmal ham se hota nahin guzaara bhi
Ajmal Siraj
4 likes
main ne ai dil tujhe seene se lagaaya hua hai aur tu hai ki mirii jaan ko aaya hua hai bas isee bojh se dohri hui jaati hai kamar zindagi ka jo ye ehsaan uthaya hua hai kya hua gar nahin baadal ye barsne vaala ye bhi kuchh kam to nahin hai jo ye aaya hua hai raah chalti hui is raahguzar par ajmal ham samjhte hain qadam ham ne jamaaya hua hai ham ye samjhe the ki ham bhool ga.e hain us ko aaj be-tarah ha men yaad jo aaya hua hai vo kisi roz hawaon ki tarah aayega raah men jis ki diya ham ne jalaya hua hai kaun batlaaye use apna yaqeen hai ki nahin vo jise ham ne KHuda apna banaya hua hai yoonhi deewaana banaa firta hai warna ajmal dil men baitha hua hai zehan pe chaaya hua hai
Ajmal Siraj
2 likes
shaam apni be-maza jaati hai roz aur sitam ye hai ki aa jaati hai roz koi din aasaan nahin jaata mira koi mushkil aazma jaati hai roz mujh se pooche koi kya hai zindagi mere sar se ye bala jaati hai roz jaane kis ki surkh-rooi ke li.e khun men ye dharti naha jaati hai roz geet gaate hain parinde subh o shaam ya sama'at chahchaha jaati hai roz dekhne waalon ko ajmal zindagi rang kitne hi dikha jaati hai roz
Ajmal Siraj
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ajmal Siraj.
Similar Moods
More moods that pair well with Ajmal Siraj's ghazal.







