ghazalKuch Alfaaz

bujh gaya raat vo sitaara bhi haal achha nahin hamaara bhi ye jo ham khoye khoye rahte hain is men kuchh dakhl hai tumhaara bhi doobna zaat ke samundar men hai ye toofaan bhi kinaara bhi ab mujhe neend hi nahin aati KHvaab hai KHvaab ka sahaara bhi log jeete hain kis tarah ajmal ham se hota nahin guzaara bhi

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya

Mehshar Afridi

53 likes

vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe

Abrar Kashif

54 likes

mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai

Ahmad Abdullah

50 likes

More from Ajmal Siraj

deewaar yaad aa gaii dar yaad aa gaya do gaam hi chale the ki ghar yaad aa gaya kuchh kehna chahte the ki KHaamosh ho ga.e dastaar yaad aa gaii sar yaad aa gaya duniya ki be-rukhi ka gilaa kar rahe the log ham ko tira tapaak magar yaad aa gaya phir teergi-e-raahguzar yaad aa gaii phir vo charaagh-e-raahguzar yaad aa gaya ajmal'-siraj ham use bhool hue to hain kya jaane kya karenge agar yaad aa gaya

Ajmal Siraj

2 likes

tere siva kisi ki tamannaa karunga main aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main go gham aziz hai mujhe tere firaq ka phir bhi is imtihaan ka shikwa karunga main aankhoñ ko ashk o khun bhi faraham karunga main dil ke li.e bhi dard muhayya karunga main raahat bhi ranj ranj bhi raahat ho jab to phir kya etibaar-e-khwaahish-e-duniya karunga main rakha hai kya jahaan men ye aur baat hai ye aur baat hai ki taqaza karunga main ye raahguzaar ki jaa-e-qayaam-o-qaraar thii yaanii ab us gali se bhi guzra karunga main yaanii kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho is ehtiyaat se tujhe dekha karunga main hai dekhne ki cheez to ye iltifaat bhi dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main hairaan o dil-shikasta hooñ is haal-e-zaar par kab jaanta tha apna tamasha karunga main haan kheench loonga vaqt ki zanjeer paanv se ab ke bahaar aayi to aisa karunga main

Ajmal Siraj

1 likes

shaam apni be-maza jaati hai roz aur sitam ye hai ki aa jaati hai roz koi din aasaan nahin jaata mira koi mushkil aazma jaati hai roz mujh se pooche koi kya hai zindagi mere sar se ye bala jaati hai roz jaane kis ki surkh-rooi ke li.e khun men ye dharti naha jaati hai roz geet gaate hain parinde subh o shaam ya sama'at chahchaha jaati hai roz dekhne waalon ko ajmal zindagi rang kitne hi dikha jaati hai roz

Ajmal Siraj

1 likes

kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo

Ajmal Siraj

50 likes

main ne ai dil tujhe seene se lagaaya hua hai aur tu hai ki mirii jaan ko aaya hua hai bas isee bojh se dohri hui jaati hai kamar zindagi ka jo ye ehsaan uthaya hua hai kya hua gar nahin baadal ye barsne vaala ye bhi kuchh kam to nahin hai jo ye aaya hua hai raah chalti hui is raahguzar par ajmal ham samjhte hain qadam ham ne jamaaya hua hai ham ye samjhe the ki ham bhool ga.e hain us ko aaj be-tarah ha men yaad jo aaya hua hai vo kisi roz hawaon ki tarah aayega raah men jis ki diya ham ne jalaya hua hai kaun batlaaye use apna yaqeen hai ki nahin vo jise ham ne KHuda apna banaya hua hai yoonhi deewaana banaa firta hai warna ajmal dil men baitha hua hai zehan pe chaaya hua hai

Ajmal Siraj

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ajmal Siraj.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ajmal Siraj's ghazal.